apane haathon se

apane haathon se
apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho
ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho
  

Jun, 07 2010     472 chars (3 sms)     2482 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Har naqsh dil se mita dia hai
suna hai tumne mujhe bhula dia hai

tumhain bhulnay ki is koshsh-e-nakaam ne
phir usi raastay se mila dia hai

phir jagi hai khuwahish tumse milne ki
isay phir thapkiyon se sula dia hai

kitnay pursukon thay meri zindagi k lamhe
teri aahat ne sara aalam hila dia hai.
taskeen dil k waste wada to kejaye..

humain tu maloom hai aap se aya na jaye ga..
hum wafadar thy shayad es laye nazron se gar gaye.

shayad tujhe talash kisi bewafa ki thi.
Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi

Qareeb Aa Ker Wo Hi Dil Ka Sheher Luut Gaye

Kahan Kahan Se Samaite Ga Wo Humain Mohsin

K Hum Tou Aaeney Ki Trha Tuut Phoot Gaye ...
Bhool Jaun Usse Kaisi Baat Karte Ho...


Kabhi Din Ne Bhi Aaghaz Kiya Hai Suraj Ke
Bagair.
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..
ukta gaya hon aik tarha k subh o sham sy...

koi aisi subeh b aaye jis mai tera zahur ho..
Kar K Aankhe Nam,Kya Dikhana Chahti He Zindgi?

Dekar Itne Gum,Kya Sikhana Chahti He Zindgi?

Pehle Mila Kar Fir Taqdeer Me Likh Deti He Judaai,

Ye Dard-E-Dil Se Hume Kya Mitana Chahti He Zindgi.
Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein



Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein
Soch Kay Tujh Ko Yeh Yaqeen Hota Hai,

Duniya Main Itna Bhi Koi Haseen Hota Hai,

Tujhe Chahne Se DiL Iss Liye Darta Hai,

Hum Ne Suna Hai Bewafa Aksar Haseen Hota Hai..
Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Wo Aana -parast Sahi Uski Baton mein Ikrar B Tha
Uske Chubtay Huy Lehje Mein Chupa Hua Piyar B Tha
Wo Mujhe Likhta Hai K Intizar Na Kero Mera
Lakin Uski Tehreeron Mein Sadiyon se Intizar B Tha
WO Kehta Tha MAt Roko K Manana Nahi Aata
Meri Narazgi Pe lakin Wo Beqarar B tha