Ek Samundar hai k

Ek Samundar hai k
Ek Samundar hai k mere muqbil hai,
Ek Qatra hai k sambhala nahin Jaata.
Ek umr hai k guzarni hai tere bagair
Ek lamha hai k Guzara nahin Jaata...!!
  

Jun, 05 2010     151 chars (1 sms)     3484 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ki goddh bhi kesi nasheeli hoti he......!

k bin loori k hi meethi neend sulaaa deti hee...
Teri yaadein ßhi,
tujh si zalim hain,

"SaNaM,

Jab dekhti hain
''TANHA'' hamein,
satane chali aati
hain,,,
Sono

tum ne kaha tha,

tum meri zindagi hu.

chalo

ub bata do

tum zinda kase ho...
Sub Roshnian muj say Roth gain Yeh kah kar.!
Tum Apney Ciragon ki Hifazut nahi Kartey.!
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
YahAn ManzAr se Pas-e-ManzAr Tak
HairAni He HairAni hAy.


kAbhi Asal ka BhAid nhi khultA,
Kabi sachA Khawab nhi Aata.
Yu nazar ki baat kii aur dil chura gaye

Andhero ke saye mein dhadkan suna gaye

Hum to samajhe the ajnabi aapko

Par aap to hume apna bana gaye...;->
Kaho
woh dasht kaisa tha
jidher sab kuch luta ayee
jidher ankhain ganwa ayee

kaha
sailab jaisa tha
buhat chaha k bach niklain
mgar sab kuch baha aye

kaho
woh vasal kaisa tha
tumhain jab cho lia us nay
toh kia ehsas jaga tha

kaha
us rastay jaisay
jidher say bus guzrana tha
Makan lakin bana aye

kaho
woh chand kaisa tha
falak say jo utar aya
tumhari ankh main basnay

kaha
woh khuwab jaisa tha
nahin tabeer thee us ki
usay aik shab sula aaye
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Daikhay Hyn Buhat Ham Ne Hangamey Mohabbat K




Aghaz Bhi Ruswaai, Injaam Bhi Ruswaai
Zaat ban k meri zaat me raha krta he

Ik shakhs he jo mjh me basa krta he

mery chehry me nazar aata he chehra us ka
uska tabbasum mery honton pe khila krta he

mere lafzon se ada hoti he baatain uski
mere lehje se gharoor us ka chalka krta he

meri neendon pe he barson se hakoomat uski
khwab ban k wo meri palko pe saja krta he

is had tk meri hasti main moujood he wo shakhs
mery har naksh me aks us ka mila krta he