ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai...
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai...
jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jaana...
ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai...
is dil ke kharabe se guzar kis ka hoa hai...
aankhein bhi wohi hai hont bhi lehja bhi wohi hai...
jo kuchh bhi kaha tha meri tanhayi ne tujh se...
is shehar ki deewar pe likha bhi wohi hai...
woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane...
baadal ki tarah aankh se barsa bhi wohi