Meri Baat ko Jo samjh

Meri Baat ko Jo samjh
Meri Baat ko Jo samjh Pao to Batana
Meri soch tak jo ponch pao to batana
Sabhi logon se her roz mila kerty ho
Kabhi jo khud se mil pao to batana
Honto pe hansi hai aur aankho mein ghum
Kabhi iss guman se nikal k muskurao to batana
Jo hans raha hai kia haqiqat mein hans raha hai
Iss hansi k peechy chupy gham ko kabhi batana
  

Jun, 03 2010     332 chars (3 sms)     5536 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
Manzilain Sab Ka Muqadar Hon Yeh Zaroori To Nahin
Kho Bhi Jaatay Hain Nayi Raahon Par Chalnay Walay...!!!
kuch ajnabi se loug they kuch ajnabi se hum
duniya mein ho na pai shanasa kisi se hum

dete nahi sujhai jo duniya k khat-o-khal
aai hein tairgi mein mager roshni se hum

yan to her ek kadam pe khala hai hawas ka
ae khizr ! baz aai teri hamrahi se hum

dete hein loug aaj isse shairi ka naam
perhtey they loh-e-dil se kuch ashoftagi se hum

rehti hai anjum aik zamaney se guftugooooo
kerte nahi kalaaaam bazahiiir kisi se hum
Is qadar shidaad se tumhe socha hai musalsal main ne
keh ajj meri zaat ka muj se ikhtalaff ho gaya......
Muhbt rog hoti ha kaha b tha . .
Rula k khud b roti ha kaha b tha . .

Use tm dil ki dharti ka pta mt do . .
Ye us ma dard boti ha kaha b tha . .

Kinare k buht nazdeek le ja kr . .
Ye kashti ko daboti ha kaha b tha . .

Azal se is ki aadat ha zamane ko . .
Jaga kr aap soti ha kaha b tha . .
Apni Naakami Ka Ek Yeh Bhi Sabeb Hai Faraz,

Cheez Jo Maangtay Hain Sub Say Juda Maangtay Hain!!
Tujh Se Mil Ker Yun Lagta Hai, Aay Ajnabi DOST To Meri Pehli Mohabat Thi, Meri Ahkari DOST,
Log Her Baat Ka Afsana Bana Letay Hain, Ye Duniya Hai Meri Jaan Kai Dushman Kai DOST,
Teri Qamat Se Bhi Lepti Hai Amar Bail Koi,
Meri Chahat Ko Bhi Nazar Kha Gai DOST,
Yaad Aai Hai Tou Phir Toot Ker Yaad Aai Hai,
Koi Guzri Huwi Manzil Koi Bhooli Huwi DOST,
Ab Bhi Aay Ho To Ye Ihsan Hai Tumhara Laken Wo Jo Qayamat Jo Guzrini Thi Guzer Gai DOST,
Me Isay Ahad-E-Sheken Kaisay Samjh Loon,
Ahkri Khat Me Ye Lihka Tha " Faqat Meray DOST".
Hum tanhaa hue to kya hua;
teri yaad se dil behlaayenge
tere mehboob nahi to kya hua
tere aashiq zarur kehlaayenge
kis kadr masoom sa lehja tha tha uska.

dheere se jaan keh kr bejaan kr gaya.
IK Pashemaa''n See Hasraat Se Mujhy Sochti Hy,,

Ab Wohi Larki Mohabbat Se Mujhy Sochti Hy..


Main Tu Mehdood Lamhoon Me Milla Tha Us Se,,

Phir Bhi Wo Kitni Wazahat Se Mujhy Sochti Hy..


Jis Ne Socha He Na Tha Hijr Ka Momkin Hona,,

Dukh Me Dobee Hoi Herat Se Mujhy Sochti Hy..


Main Tu Mar Jaoon Agar Sochne Lag Jaoon Usy,,

Aur Wo Kitni Sahollat Se Mujhy Sochti Hy..


Grche Ab Trk-e-Mrasim Ko Bohat Deir Hoi,,

Ab Bhi Wo Mere Ijazat Se Mujhy Sochti Hy..
Maut Ki Aakhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun
~ GHaLiB ~



Zindagi Bhar Ka "Khulasa" Issi Awaaz Mein Hai...
Chahton k mosam mein,
Zakhm jo b lag jaen,
Umer bhar nahi siltay,
Tum nay sun liya ho ga,
Shehar ki hawaon say,
Wo jo ik dewana sa,
Atay jatay rahi ko,
Raston mein milta tha,
Ab kahin nahi milta...