Socha tujhko phool kahu mai

Socha tujhko phool kahu mai
Socha tujhko phool kahu mai

Laikin phool bikher jata hai,

Socha tujhko khowab kahun mai

Lekin khowab to mar jata hai,

Socha tujhko shaam kahun mai

Lekin shaam to dhal jati hai,

Or tu dhalti shaam nahi hai,

Tera koyi naam nahi hai
  

Jun, 03 2010     250 chars (2 sms)     2326 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

. . Kaha Sirf us Ne
Itna Ke Khamoshi
Hai Mujhe Bohat Pasand . .


Itna Sun''na Tha Ke
Hum Ne Shor Machati Apni
Dharkanen bhi Rok lee..
Apny Buss Main Kar Laity Ho.
/
Uff Kitna Be-Bus Kar Daity Ho..
Unho ne apna
haath barhaya
hai
faqt mujhe thamane
k liye,,

Par un se
main yeh kaise kahoon.!!
k mujhe haath

nahi

saathI
chahiye=
Us Ka Andaz-e-Bayan
Hi Maar Deta Hy
''Faraz''

Wo haqeeqat Main
Pyaar Karey Ga Tou
Kia Ho ga ... !!
kash koi parhta meri nazron se pegham-e-mohabat''

umar guzri hai iqbal lafzon ko ashaar kartey...
Yun to kitne aye guzar gaye es jindagi me

par na jane kyun en kaano ko sirf unka hi alfaaz chahiye.

Nihaarte to humme besumar nigahein hai,

Par humme to unki ankho ki wo shararti andaaz chahiye.

Humme sirf unki ek choti si mulakat chaihye
Khwaab Aur Haqeeqat Main

Farq Shayad Itna Hai

Khwaab Toot Jaata Hai

Haqeeqat Tod Deti Hai ....!!
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
Kisi K Khwab Main Utra Na Qurbaton Main Raha
Sitam Tou Ye Hai K Phir Bhi Wazahato’n Main Raha

Khud Apni Zaat Tak Ka Adraak Bhi Na Ker Paya
Main Khalwato’n Se Nikal Ker Bhi Wehshato’n Main Raha

Mera Wajood Raha Jins Be-Talab Ki Terha
Main Lafz Deta Gaya Khud Izafato’n Main Raha

Haroof Jis K Tarashey Jisey La-Taab Kia
Khud Is Kitaab Ki Minha Ibarato’n Main Raha

Bohat Gumaan Tha Khud Tez Kaam Hone Ka
Jo Qafley Se Nikla Tou Rasto’n Main Raha

Qarar Milta Bhi Kaise Kisi Peher
Thak K Bhi Main Hamesha Mussafato’n Main Raha
neendon ki baghawat se yeh nuqsan huwa hai,,,

ik shakhs k khowabon ko tarasti rahi aankhen.
Meri chahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho. -
ZUBAN KHAMOSH AANKHON MEIN NAMI HOGI,


YEHI BAS EK DASTAN-E-ZINDAGI HOGI,


BHARNE KO TO HAR ZAKHAM BHAR JAYEGA


KAISE BHAREY GI WOH JAGAH JAHAN TERI KAMI HOGI.