Muje dil apna dekar

Muje dil apna dekar
Muje dil apna dekar aaj meherban ho jao,

mere dil mai uter kar meri jaan ho jao,

mai kon hUn kia hUn muje koi nhi janta,

meri jaan bankar meri phchan ho jao
  

Jun, 07 2010     166 chars (2 sms)     2197 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

RaaT Mein Yun SaJJ-DhaJ KaR ChhaT Par Na Jana TuM!


ShehaR Mein EID Ki Tareekh BaDaL JayeGi.~!
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Baahon mein aa ja na ja tu dur mujhse,
Ki tere bin jeena hai mushkil sanam,
Na jay un dur mujhe tanha chod kar,
Ki tere bina mar hi jayenge hum.
Koi Aik Aad Sapna Ho To Acha Bhi Lagta Hai...
Hazarron Khwaab Ankoon Main Chupa Key Kuch Nahi Milta..
Uss Se Kehdo Mat Tankay Palkoon Pe Khwaaboon Ki jhaler...
Samander Key Kinaray Gher Bana K kuch Nahi Milta...
Bohat Udas Hai Koi Shaks Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ik Bar To Dekh
Koi Toot Gaya Hai Tere Rooth Jane Se
Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...

Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...

Muddat huee kitaab-e-muhabbat shuru kiye...

Laikin mein pehlay baab say aagay nahin barha...

Lambi musafatein hain magar is swaar ka...

Paaon abhi rakaab say aagay nahin barha...

Logon ney sang-o-khisht k qilay bana liye...

Apna mehal to khawab say aagay nahin barha...

Tool-e-kalaam k liye mein ney kiye sawaal...

Wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...
Likhte hai hum kisi aur k liye,

Mere dard ko tum apna mat samjhna.

Haqiqat me hum unhe chahte hai bepanah,

Ise tum mera sapna mat samjhna.
Tune Dekha hay kabhi

Chaand pe Behta Hua Paani?

Maine Dekha Hay Ye Manzar

Uss K Rukhsaar Pe Aksar...!!!
baal bikhraye tooti qabron par

jab koi mahjabeen roti hai

mujh ko aksar khayal aata hai

maut kitni haseen hoti hai
Muhbt rog hoti ha kaha b tha . .
Rula k khud b roti ha kaha b tha . .

Use tm dil ki dharti ka pta mt do . .
Ye us ma dard boti ha kaha b tha . .

Kinare k buht nazdeek le ja kr . .
Ye kashti ko daboti ha kaha b tha . .

Azal se is ki aadat ha zamane ko . .
Jaga kr aap soti ha kaha b tha . .
mujhay forsat he forsat hay ..
sawairay jald othna hay
na shab ko dair say sona
kahain baher nahe jana
kissi say bhe nahe milna
na koi fiker laahaq hay
na koi YAAD baqi hay


mugar yai akhree misraa
zara sa jhot lagta hay
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,