Jab piyaar ki baat adhori hoo
Jab beech mien thori doori hoo
Jab milna bhoat zrori ho
Par milnay mien majboori hoo
Tum dil mien yaad jaga laina
Kuch piyaar kay deep jala laina
Jab mujh say milnay aa na sako
aur yaad say bahir jaa na sako
Thora dil ko samjha laina
Bus yaad say dil behla laina
kon kheta hai k dour hain hum
woh bhe tou wahi aasma dekhti hogi
jo main dekhta hoon
woh bhi tou wohi suraj dekhti hogi jo main dekhta hoon
farq hay tou hay bus itna
farq hay tou hai bus itna
woh wahan chand dekhti hay
aur main chand me uski surat dekhta hun
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Ye Sar Ko Na Jhukane Ki
Badan Se Qasam Leta Hy
Dilo''n Ki Har Tamanna Pr
Ye Kaari Zarb Hota Hy
Aur Is K Har Taqaze Mein
Bala Ka KArb Hota Hy
Ye Dunya Ki Kisi Talkhi Se
Derne Bhi Nahi Deta
Ye JEene BHi Nahi Deta
Ye Marne Bhi Nahi Deta
Agar Jeewan Ki Raaho''n Main
Jo Chahat Ko Kabhi Chaho
Rahat Ko Kabhi Chaho
Kisi k Saanp Lafzo''n Se
Isay Daswana Parta Hy
Mohabbat Kerne Se Pehle
Isay Dafanana Parta Hy
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
tujh say woh kuch paya
jo kuch main nay chaha
sukh kay pal
chahat ki gharyan
etebar kay rutbay
hum sa maghrur kiya tou nay kabhi dekha hai ?
logun nay tou jhooti nabuwat ka dawah kiya
Hum sa khuda !!!!
khudai ka dawa kerta hae
dekh jannah !
teri muhabbat main
hum kitnay maghrur howay
Kiya Tum Bhi
Aansoo Rokny Ki Koshish Mein
Palkyn Teez Teez Jhapakty Ho
Aur
Kesi Sandesey Ki Aas Mein Baar Baar
Darwazy Ki Janib Lapakty Ho
Kiya Tum Bhi
Phool Pey Girti Barish Ki Aawaz Sey
Aur
Door Kahin Bajny Waly Almiyaan
Saaz Ki Aawaz Sey
Aafsurda Ho Jaty Ho
Toot Ker Zara Dekhoo
Tum agar Bikher Jao
bebasi Mein Ghir Jao
Dil Se Ik Sada Dena
Bas Mujhe Bhula Dena
Mein Tumhein Sanbhal Longa
Zindagi Mein Chalne Ka
Rasta Badalny Ka
Ek Hunar Sikha Doonga
Tumko Hosla Donga
Aur Jab Tum Sanbhal Jao
Roshni Mein Dhal Jao
Mujhko Youn Sila Dena
Tum Mujhe Bhula Dena...