Dilo me aarzu ke diye jalate rahenge,
Aankhon se aansu nikalte rahenge.
Tum shama bankar dil me roshni to karo,
Hum mom bankar uhee pighalte rahenge....
Kahin Bhi Ziker-E-Wafa Chirr Gia Tou Log Akser
Log Hawala Dene Lage Teri Bewafai Ka
Yeh Aur Baat Hai K Hum Zabt Ker Gaye Her Baat
Werna Dukh Tou Hua Hamain Teri Judai Ka
taqseem-E-Mohabbat Mein Kuch Gham Hee Mile
Phir B Shikayat Hai K Dukh Kam Hee Mile
Ae Zindagi Ek Baat Bata Zara Humy
Kia Dil Dukhane K Liye Tujhe Ham Hee Mile
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka
Dil mein na ho Jurrat tu mohabbat nahi milti
khairat mein itni badi daulat nahi milti
khuch log yunhi shaher mein hum se bhi khafa hein
Kya karen??har aik se apni tabyat nahi milti".....