zalzalay younhi Besabab

zalzalay younhi Besabab
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,

Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...
  

Jun, 02 2010     82 chars (1 sms)     2998 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
sonu

ub kua kya jae

tere baad

meri zindagi bhi

mujh se alahdgi chahti hai.
soch soch kay may thuk jao
piyar kahay tujh say ho jay

lakh chhupaaoo chahay may sub say
aizhar kahay tujh say ho jay

bach kay nikal jaoo chahay sub say
per samna tujh say ho jay
wo mehsus kry humen apni hr dharkan k sath.........

is k siwa hm ny kbi kuch chaha hi nhi..
chamun, gulzar, baghaat bhi koi sajata he
in me kalion aur phoolon ki mehfil khuda lagata he
in kalion aur phoolon se barh kar tum sahi
bhala itna chahnay wale ko bhi koi tarpata he..
Ik arsa-e-firaq tha,ik lamha-e-visal

Uska b ye hal tha mra b yeh hal

Zinda na reh skainge judai k bad hum

Uska b ye khyal tha mara b ye khyal

Mudat k bad kyon ha labon pe ye khamoshi

Uska b ye swal tha mara b ye sawal

Bhula nhi ha wo b muje,main b aj tak
Uska b ye kmal tha mara b ye kamal.
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
usne sub kuch jaan k bhi mujhe maaf kar daya..

meri maa ne matha choom kar aaj phir mujhe sula daya..
Meri Raatain teri Yaadon Se Saji Rehti Hain,

Meri Saansain Teri Khusbu Main basi Rehti hain,

Meri Aankhon May tera Sapna Saja Rehta Hai,

Haan Meray Dil May Tera Aks Basa Rehta hai,

Is Tarah Meray Dil K Bohat pass Ho Tum,

Jiss Tarah Pass Sheh-Rag K Khuda Rehta hai.../
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
tumhare"sard"lehje ne humein "chonka"diya warna.

"muhabbat"mein muhabbat se to dhoka"kha rahe the hum.

Khud Se Fursat He Moyassar Nahin Aai Warna

Hum Kisi Ke Hote To Tumhare Hote