Husn-e-Soorat Ke

Husn-e-Soorat Ke
Husn-e-Soorat Ke ... Talab-Gar Buhat Hain...

Husn-e-Seerat Ka... Parsitar Hai.. Koi Koi
  

Jun, 02 2010     91 chars (1 sms)     24675 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

* Harf-e-Dua *

Chaandni

Us Dareechy Ko Chuu Ker

Mere Neem-Roshan
Jharokay Mein Aaye, Na Aaye

Magar

Meri Palko''n Ki Taqdeer Se
Neend Chunti Rahe

Aur Us k Khwaab Bunti Rahy
main jo bikhroon to sath na rukna warna,,,,

ungliyan dard karen gi mujhey chuntey chuntey
Mana k bura hun mgr itna bi ni hun

Kuch nazron se gira hun mgr itna bi ni hun
apna shewa hai aandheron main jalate hain charagh.

unki shazish hai zamane main yonhi raat rahe.
Tumhien maloom hai

janaan!!

tum bhi

ek...

qatil ho,...

mery ander ka ek

hansta hua insaan

Tum ne mar dala hai
Qissy Meri Wehshat K Jo MarQoom Hain Saary

Aa Daikh Tere Naam Se Mansoob Hain Saary


Bus is Liye Her Kaam Adhoora Hi Para Hai

Khaadim Bi Meri Quom K Makhdoom Hain Saary


Her Jurm Meri Zaat Se Mansoob Hua Hai

Keya Mere Siwa Shehr Me Masoom Hain Saary


Ab Kon Mere Pa'on Ki Zanjeer Ko Kholy

Haakim Meri Basti K Bi Mehkoom Hain Saary


Shayd Ye Zarf Hai K Jo Khamosh Hoon Ab Tak

Warna To Tere Aaib Bi
Maloom Hain Saare
HuM tOu FaQEeR lOg HyN , HuM DiL Ki SaLTaNaT

SaStI bHi BeCh DeTe HyN, BaZaR dEkH KeR . . .
Judaai, Ratt-jaga Aur Karb-e-Musalsal

Chalo Tum Ne Mujhy Kuch Tou Dia Hy ...
tum kis wafa ki baat karte ho yahan per sagar

ye log tu jaan le ker bhi dil nikal laya karte hain.
,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
Sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum
Zaat ban k meri zaat me raha krta he

Ik shakhs he jo mjh me basa krta he

mery chehry me nazar aata he chehra us ka
uska tabbasum mery honton pe khila krta he

mere lafzon se ada hoti he baatain uski
mere lehje se gharoor us ka chalka krta he

meri neendon pe he barson se hakoomat uski
khwab ban k wo meri palko pe saja krta he

is had tk meri hasti main moujood he wo shakhs
mery har naksh me aks us ka mila krta he
Jab insaan k jism se roh nikali jati hai to wo itni buri tarah se aawazen nikalta he k sath wala dar k mary mar jaye.