Khali hathun ko kabhi

Khali hathun ko kabhi
Khali hathun ko kabhi ghor sy dykha hai faraz,

Kis tarah log lakeerun sy nikal jaty hain...
  

Jun, 02 2010     95 chars (1 sms)     2789 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

HaatH MeRaA Ai MeRii ParChhaaii Tu Hii ThaaM Le
Ek MuddaT Se MujhE To SuujhtaA KuchH Bhii NahiiN

ShahaR Ye ShaB Me KauN Saa GhaR ThA Na Dii JiS PaR SadaA
NiinD Ke AndhE MusaafiR Ko MilaA KuchH Bhii NahiiN

UmR BhaR UmR Ye GurezaaN Se Na MeRii Ban SaKii
Jo KarE KaRatii RahE MaiN PuchhtA KuchH Bhii NahiiN

Wo Bhii ShaayaD Ro PaDe ViiraaN KaaGaz DekH KaR
MaiN Ne Us Ko AaKhirii KhaT Me LikhaA KuchH Bhii NahiiN
Ye Rung-e-Gul Bhi Hy
Aur Khaar Bhi Hy

Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy

Ajab Hy Bolti Aankho''n
Ki Masti

JahanInkaar Bhi Hy
Iqraar Bhi Hy

Ye Raah-e-Ishq Hy
Dekho Sambhal Kr

Bohat Aasan Bhi Hy
Dushwar Bhi Hy

Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat

Gila Hy Jis Sy Usi Sy
Pyar Bhi Hy !!!
Itna Toota Hoon k choone se Bikhar jaonga





Ab Agar aur Dua Doge To marr jaonga
Shaako''n Se Phool
Phool Se Khushbu Juda Na Ho
Sheher-e-Dil Main Tere Siwa
Koi Duusra Na Ho
Yun Khoye Teri Yaad Main
Khud Ko Bhula Dia
Jaise Hum Ko Apne Se Koi
Waaste Na Ho . . .
Raaton mein aagar na ashk bahaun tou kya karoon,
Ik pal bhi us ko bhool na paun tou kya karoon,
Maine suna hai un ko andhare nahin pasand,
Raahon mein ab main dil na jalaun tou kya karoon,
Tum hee kaho chhod day jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun tou kya karoon,
Socha thaa kee chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun tou kya karoon,
Aao Kabi Khud Chal K Ghar Hamare
Dekho Kitna Yaad Karte Hain Tumhe

Kabi Ake Dekhlo Tanhai Me Halat Hamare
K Kitna Pyar Karte Hain Tumhe
Kal raat janay kiya hoa!!
Kuch dair pehlay neend say…
Kuch ashq milnay aa gaey
Kuch khoab bhi tootay hoey..

Kuch raasta bhatki hoi,
Kuch gard mai lipti hoi,
Bay rabt si soochain kaee...
Bhooli hoi batain kaee…
Eik shakhs ki yaadain kaee…

Phir dair tak jaga raha
sochoN mai gum baitha raha
ungli say thanday farsh per
ek naam bas likhta raha

kal raat hi wo raat thi
kuch dair pehlay neend say
main dair tak rota raha……
Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey Charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
, nahin door mujh se qareeb hai

Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin tu naheeN sahi
wo kahta tha se bicher k viraan ho jain gay hum,

aaj pury shehr me sb se roshan ghar us ka mila..
Tum Ne Kaha Tha Agar Kabhi Bhi

Bichar Gaye To Aisa Karna

Dil Mein Pyaar K Jugnoon Bhar K

Mujh Ko Kuch Pal Dhoondtey Rehna

Dekhna Phir Main Lot Aoun Ga

Tum Ye Keh Kar Chalay Gaye The

Laikin Teri Khoj Main Ab Tak

Main Aur Jugnoo Bhatak Rahey Hain.....!!
KHULTA KSI PE KYUN MESE DIL KA MAMLA

SHERON KE INTEKHAB NE RUSWA KIYA MJHE