Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta..
Yah ansoon pyar ka Moti hai is ko khoo nahi sakta..
Meri chahaat ko dulhan tu bana lena magar sun lay..
Jo mera hoo nahi paya wo tera hoo nahi sakta..
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.