Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
Yaad mein doobney se achcha hai
kay ,chor kar us yaad k samandar ko
koi aisa jazeera dhond lo
kay
jahan sakoon ho, bohat sakoon ho
magar
hum jaise logon ko to
doobna achcha lagta hai
to phir
doobey raho us ki yaad mein
jo k hum ko
kab ka bhool chuka hai
kiya waqa''ie
WO BHOOL CHUKA HO GA