Manzil-e-gham ki fazaon say lipat kar roo loon
Teray daman ki hawaon say lipat kar roo loon
Jam-e-maaey peenay say pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon say lipat kar roo loon
Zard ghunchon ki nigahon mein nigahein daloon
Surkh phoolon ki qabaon say lipat kar roo loon
Aanay walay teray rastay mein bichaon aankhein
Janay walay teray paaon say lipat kar roo loon
Apnay majboor taqadus k sahary sagar
Deer-o-kabah k khudaon say lipat kar roo loon
Youn Hosla Dil ne Hara Kab tha
Bin Sharab Piye Guzara Kab Tha
Kuch Pal usey aur Dekh Sakty
Ashkon ko mager gawara kab tha
Hum Khud B judai ka sabeb thy
Uska Hee kasoor Sara Kab tha
Ab auron k saath hai to kya Dukh
Pehly B koi hamara Kab tha....!!
Humain awaz dogay?
ya,ksi guzri kahani mein hmara naam likh do gay?
Chalo aisa hi karna tm
Badal jana,
hamy tm bhol hi jana
Mgr itni guzarish hy
Hmara zikar jab aye
zra sa yad kar lena!
tum aao na aao hum to bulayengey,
tum bhula do hum na bhula payengey,
tumhe haq hai bhula do humari dosti ko,
humne dosti ki hai her hal mey nibhayengey..