wo jin ko teri qurbat main bhool bahte thy.
wo log teri judai k baad yaad aye.
hum itne bhi gaye guzre bhi nahi thy jaan faraz.
keh tujh ko sari khudai k baad yaad aye.
kub kaha tha nazaron se khuof ata hai.
hume tu chand sitaron se khuof ata hai.
mile hain doston se ghum itne ..
mare badan ko saharon se khuof ata hai.
Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah...
Na Ziker Ker Meri Aada K Bary Mein
Hum Bhi Janty Hain Sab Kuch Wafa K Bary Mein
Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhty Hain
Jinhy Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bary Mein
Kyun har baar hum unki baton mein aa jaate hain
Kyun baar baar unke kehne se maan jaate hain
Har dard ko sejhne ke baad bhi unke saamne muskurate hain
Aur aapne haaton se apne aasuon ko poochte jaate hain