Ishq fanaa ka naam hain

Ishq fanaa ka naam hain
Ishq fanaa ka naam hain ishq mein zindagi na dekh
Jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshni na dekh

Shauk ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
Aag dabi huii nikaal, aag bujhi huii na dekh

Tujko khuda ka wastaa tu meri zindagi na dekh
Jiski sahar bhi shaam ho, uski dard bhari raat na dekh.
  

Jun, 03 2010     299 chars (2 sms)     5869 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
Sharaab pene do masjid main baith kar,
Ya wo jaga bata jaha par khuda nahe..
(Ghalib),

Masjid khuda ka ghar hai pene ki jaga nahe,
Kafer k dil main ja waha pr khuda nahe..
(Iqbal) ;->
Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

Magar aise hum the nahi banaaye gaye hain.
raqeebon k sath baithe hai woh mohshin,,

kaise krun salam smjh mai nae ata.
Apni tanhai mere naam se abaar kare,

Kon hai jo mujhe is trha se yaad kare,

jis k Ansoun se meri rooh kanp uthe,

Hai koi aisa jo Mujhe pane ki yu faryad kare.>
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko
mjbooriya''n kahen k isy saadgi kahen...

jis ne b hns k baat ki hum sath ho lye!!
Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye
Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga
Main Tum Se Kuch Nahi Kehta

Faqt Itni Guzarish Hy ...

K Utni Baar Mil Jao

K Jitna Yaad Aate Ho ...
Kahan se aati hai Hichkiya,

kaun Fariyad karta hai.

Khuda usey Hamesha Salamat rakhe,

Jo HUME pyar se yaad karta hai.
Agr woh pochein tou un se kehna un ka aashiq basta tha yahan

Dekhna un ko woh pepal ka peid aur kehna gaaney woh tanhai mein gungunata tha yahan.

Le jana un ko darwazey pe aur kehna intezaar woh kiya karta tha yahan.

Phir rakhna ungli dil pe aur kehna.. Shikayat karta tha ke dard hota hai yahan.