Gham me hasne walo

Gham me hasne walo
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
  

Jun, 04 2010     164 chars (2 sms)     2684 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
Nakam Si Koshish Kia Karte Hain,……….
Hum Hain K Unse Pyar Kya Karte Hain,……….
Khuda Ne Taqdeer Mai Ek Tota Hua Tara Nahin Likha,.
Hum Hain K Chand Ki Tamanna Kia Karte Hain,………
wo mehsus kry humen apni hr dharkan k sath.........

is k siwa hm ny kbi kuch chaha hi nhi..
Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain
Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
Us Ne Do0r Rehne Ka Mashwara Bhi Likha Hei,
Sath He Mohabbat Ka Wasta Bhi Likha Hei,
Us Ne Ye Bhi Likha Hei Mere Ghar Nahi Aana,
Or Saaf Saaf Lafzon Mein Raasta Bhi Likha Hei,
Kuch Harf Likhay Hein Zabt Ki Nasihat Mein,
Kuch Hurf Mein Us Ne Hosla Bhi Likha Hei,
Shukriya Bhi Likha Hei Dil Se Yaad Karnay Ka,
Dil Se Dil Ka Hei Kitna Faasla Bhi Likha Hei,
Kya Usay Likhain Or
Kya Usay Kahain,
Jis Ne Be Jaan Kar K Jaan Bhi Likha Hei ..!
Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Huy Ham
Na Toot Ker Pyar Ker Sake Na Ro Sake Ham
Wo Bhi Din Thay Roz Mila Kerte Thay
Yeh Bhi Din Hai K Milne Ko Taras Gaye ham
Parastish ki Tamana hy

magr Hai re majboori

SANAM jiss se Trasha jaye wo pathar nhi Milta.
Bandh raka hai teri yaad ney Mazi sey muje. Warna guzrey hue lamhat mey kia raka hai. Tu na mil pahe thu aur Khuda sey mangoon. Tu alagh go tho meri zaath mey kia raka hai.
Apni Be-Basi per Aaj Rona Aaya
Dosron Ko Nahi Mein Ne Apno Ko Aazmaya
Her Aik Ki Tanhaoi Door Ki Mein ne
Lakin Khud Ko her Mor Pe Tanha paya
Ye hum tasleem kartay hein,

Tumhein fursat nahi milti,

Hamaray wastay tum ko,

Koi saa''at nahi milti,

Hamari soch k mehwar,

Kabi ik pat to socho tum,

Tumhein hum yaad kartay hein,

Aur itna yaad kartay hein,

K KHUD KO BHOOL JAATAY HEIN ! ! !
Pyar se pyari koi majburi nahi hoti, Kami apno ki kabhi puri nahi hoti,Dilon ka juda hona ek alag baat hai, nazron se dur hona koi duri nahi hoti