ankhein b wohi hein

ankhein b wohi hein
ankhein b wohi hein darecha b wohi hai,

soch k angan main utarta b wohi hai,

wo jis ne diya mujko mohabat ka khazana,

barish ki trah ankh se brasta b wohi hai!
  

Jun, 07 2010     169 chars (2 sms)     2529 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo Meray Zabt Ka Sheraza Muntashir Kar De...








Tere Sitam Ko Abhi Woh Ada Nahi Aye..!!!
Hazaron gham hain lekin aankh se nikley nahi ansoo

Hum ehl e zerf hain peetay hian chulkaya nahi kertey.
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen
Andar Lagi thi Aag Magar Be khAbar thAy LOG.



jalay howAy makaan k Bahir dowAAn tak nA tha.
dil chahata hay tujh ko na janaay kyun
pass chahta hay tujh ko na nanaay kyun

her ghari rahta hay tara khiaal
dil tujh ko dhondta hay na janaay kyun

rahta hay bay-qarar naq jaay kyun
aqrar chahata hay tujh say na janaay kyun
ub tu meri tanhai bhi mujh se uljh pardhi hai"amir"

meri siskaon ne use jaga daya hai,,,,
Koun Si Cheez Dil Ke Bas Mein Nahi
Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi
Kab Se Aankhain Talaash Karti Hain
Ek Din Jo Kisi Baras Mein Nahi
Teri yaad bhi ek beeta hua kal hai,
Jise bhula na paun aisa wo pal hai,
Kabhi mere dil ki gehraiyo se guzar kar to dekh,
Mere wajood se juda tera har pal hai.
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
“Dil ki Batain , bata deti hain , Aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,Aankhen,

Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain Aankhen,

Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain Aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain Aankhen,

Ma na ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain Aankhen,

SAGAR shukar hai , Khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain Aankhen
Apni Zindagi Bhi Us Chand Ki Manid Hai Sahil
Jo Khubsurat To Dekhta Hai Magar Hai Bohat Akela