Ya rab humain tuj say

Ya rab humain tuj say
Ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi,
Wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi..

Seencha tha jiss chaman ko apnay dill kay lahoo say,
Phir kyu barsaat main koi phool khila nahi..

Na lagaay koi chot is dill_e_ natawan per,
Abhi tu phichla zakham bhi muj say siila nahi..

Mangaa tha jhooliian utha utha kar usay,
Mager humain duwaoon ka koi siila mila nahi..
  

Jun, 03 2010     376 chars (3 sms)     3068 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Maangu Bas Unhe
Yeh Ibaadat De De
Ai Khuda Tere Khazane Se
Thodi Si Mohabbat De De
Kaaash ! Woh Saath Nibhaye
Hamara Umr Bhar Ka
Ya Phir Unke Dar Par
Marne Ki Ijaazat De De.
Tumse hi Dosti, Tumhara hi Intezar, Tumhare bina Dil rehta hai
Bekarar,tumhari yeh Saadgi, Tumhara yeh Pyar, Jeevan bhar na bhool payenge is
Dosti ko
Yaar...
kisi k u bicharnay say
kisi k yaad anay say
buhat say loog rotay hain
k rona aik rewayat hai
rewayat toor jata hon
tumhari yaad anay per
main aksar muskarata hon
Unhone Apna Kabhi Bnaya Hi Nhi
Jutha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nhi
Galtiyan Apni Hum Maan B Jate
Par Kya Kare Kasur Hmara Hume Btaya Hi Nhi..........;->
Ye Meri Mohabat Hai Koi Raitt Pe Likha Naam Nahi,
JAn|x...
Issay Moat Tou Mita Sakti Hai Mager Tere Bas Ki Baat
Nahi... ;->
main jaan tu gaya hon apne jeene ki wajha.

per wo khuda se mere marne ki dua kaoun kerta hai.
Suna Hai Neya Saal Phir Aa Raha Hai

Khushiyan Bhi Hoon Gee ” Baharain Bhi Hoon Gee
Magar Hum To Guzry December Ki Sochoon Mein Gum Hain
Keh” Jab Tu Mere Paas Thi

Hath Tera Mere Hath Mein tha
Aor Khushiyan Chaar Su Hamary Sath Thin

Magar Ab Akele Tumhain Sochty Hain
Yahi Khof Daman Se Lipta Hua Hai
Keh”

Aisa Na Ho Es Baras Bhi December
Tumhary Bina He Kahin Beet Jay
December To Har Saal Aata Rahy Ga
Magar Tum Na Ho Gy To Kuch Bhi Na Ho Ga !

Suna Hai Neya Saal Phir Aa Raha Hai !
Chandani raaton mein aansoo se andhera geela karna,

yehi toh ishq ka bada pyara andaz hai,

kabhi waqt mile toh mujhse bhi mohabbat karke dekhna,

teri berookiyon ko aaj bhi mera adaab hai!!
Wohi muntazir negahain
wohi sham-e-gham ka manzar...
main azal sy dhoond raha hun
teri wapsi ki rahain...
Bolti hai DOSTI, chup rehta hai PYAR....

Hansati hai DOSTI Rulata hai PYAR

Milati hai DOSTI

Juda karta hai PYARPhir kyun DOSTI chor ke log kerte hain PYAR?
Tere qarib aa k bari uljhano me hu

me dushmnoo my hu k tere dosto me hu?

Badla na mere bad b mouzu-e-guftago

Me ja chuka hu phr b tri mehfilo me hu,

Mjse bichar k tu b roega umr bhr''

ye soch le k me b tri khwhisho me hu''

Tu hans raha he mjpe mra hal dkh kr!

0r phr b me sharik tere ghamon me hu...
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?