Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Na main pass us ko bola saka.
Na main dil ki baat bata saka.
Wo hansi hansi main hi chal dia.
Main hath tak na hila saka.
Kahan jao gay mujay choor kar.
Main yah poch poch kar thak gaya.
Wo jawab muj ko na dai saka.
Wo tou khud sarapa sawal tha.
Wo mila tou sadion k baad b.
Meray lab pay koi gila na tha.
Usay meri chup nay rola dia.
Jisay guftago main kamal tha..
mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha,
jitana mayus hai vo shaKhs bichar kar mujh se
itnii shiddat se to main ne use chaaha bhi na tha,
jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
aisi nazaron se to main ne use dekhaa bhi na tha
merii aavaaz kaa Gham shahar ne jana kaise
main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!
Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
Jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..
Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
Waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....