saaman-e-tijaarat meraa

saaman-e-tijaarat meraa
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai.
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
  

Jun, 04 2010     184 chars (2 sms)     2808 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tumhin kis nay kaha tha
dopahar kay garam souraj ki taraf deekho
aur itni dier dekho !!
kay beenaye pighal jaye!!!

tumhin kis nay kaha tha???
aasmaan say toot ti andhii uljhti bijlyon say dosti kar lo


aur itni dosti kar lo
kay ghar ka ghar hi jal jaye

tumhin kis nay kaha thaa??
kay aik anjanay safar main
ajnabi rah rooo kay hamraah door tak niklo
aur itni door tak



kay woh rasta badal jaye
Teray Honton K Taqadus Ka Khayal Aata Hai Faraz

Warna Pholon Ko Tu Hum Choom Lia Kartay Hain
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya
Ab to tanhai ka ye aalam h faraz..
Koi hans ke bi dekhe to muhabt ka guman hota hai
Ajnabi

Main usay kaise aikaila chor don is rah main

sath jo chalta raha majboriyon k baad bhi.

ban k khusboo rach gya hy yun mere ehsas main

door ho paya nahi woh dooriyon k bad bhi

rafta rafta us ko bhi ye duniya ra''as aa gye

muskra k woh mila hy ranjishon k bad bhi

fasly kb kum howay hain rabton k bad bhi

ajnabi thay ajnabi hain "mohabton" k baad bhi
Sirf Dekhke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti
Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti
Janta Hoon Main Kabhi Tumhara Na Ban Paunga
Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti
Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!
Kaash wado ka matlab woh samajte,

kaash khamoshi ka matlab woh samjhte,

nazar milti hai nazar se,

kaaaash meri nazron ka matlab woh samajte.....;->
Baharain phool barsati hain KHUSHI ke mosam me
Khushboo phelati hy chaman me is mosam me
Sanam miltay hain prem hota hy ummang se
Yeh basant ki bahar hy dil per is mosam me
Pairh ko deemak lag jaey ya adam zad ko Gham...






Donoo''n hee ko Amjad hum ne Bachtay Dekha kam...
Ab Nigahon Mein
Na Khuwaish Hai
Na Hasrat Hai
Na Malal
Ab Yahan Lub Py
Kahan Hurf-E-Sawal Aata Hai
Hum Ny Apny Dil Ko Bohat Dair Sanbhala
Dil Hai Pathar Toh Nahee
Is Mein Toh Baal Aata Hai
Ab Humey Kis Ki Muhabbat Ka Yakeen Aaye Ga
Un Ki Beyzar Nigahoon Ka Khayal Aata Hai..!
Kuch raaz hain meray seenay mein
Din kam hain meray jeenay mein

Mujay dheray dheray kehne do
Apne DIL mein mujh ko rehne do

Meri Bojhal palkain kehti hain
Ye tujh ko takti rehti hain

Main sab kuch khona chahta hon
Bas tera hona chahta hon

Ajeeb khuahish mein kho jaon
Teri Gode mein sar rakh k so jaon

Mujh pe itna ehsan kar do
Ik din mere nam kar do

Phir na Lot k aaon ga
Na tujh ko kabhi sataon ga

Ye mera tujh se wada hai
Ab keh de jo tera irada hai