tumhe.n hai shauq aga

tumhe.n hai shauq aga
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa.
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
  

Jun, 04 2010     188 chars (2 sms)     2359 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Suljha Hua Sa Fard Samajhty Hain Mujh Ko Log.




Uljha Hua Sa Mujh Main Koi Doosra Bhi Hae !!
WO Saath Mere Behta Hua tha
Per Kisi Aur Ke Kareeb Tha
Wo Apna Sa lagne Wala
Kisi Aur Ka Naseeb Tha
Dil lagi thi usay hum se mohabat kab thi
Mehfil-e-ghair se unko fursat kab thi
hum thay muhabat mein lut jany k qayal
us k wadon mein wo hakeekat kab thi
wo wakt guzari k liay karta tha pyar ki batein
warna meri khater us k dil mein chahat kab thi
Yaad mein doobney se achcha hai
kay ,chor kar us yaad k samandar ko
koi aisa jazeera dhond lo
kay
jahan sakoon ho, bohat sakoon ho
magar
hum jaise logon ko to
doobna achcha lagta hai
to phir
doobey raho us ki yaad mein
jo k hum ko
kab ka bhool chuka hai
kiya waqa''ie
WO BHOOL CHUKA HO GA
Tadapte Dilke liye Kuch Qarar le aaye,

Kahin se Pyaar ki Khushboo Udhar le aaye…
Usney kaha mujh sey kitna pyar hai, mainey kaha

Setaroon ka bhi koi Shumar hai.

Usney kaha kon tumhain sub se azeez hai,

mainey kaha Dil pe jiska Ikhteyar hai.

Usney kaha kon sa tohfa mein tumhein do,

mainey kaha wohi Sham jo Udhar hai.

Usney kaha saath kab tak nebhao gay,

mainey kaha jitnee Sanson ki raftar hai.

Usney kaha mujh ko yaqeen aye kaise,

mainey kaha mera Naam "AITBAR" hai..
Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Gazal Ki Palkain Sawaar Lon.

Mera Lafz Lafz Ho Ayina Tujhy Ayine Main Utaar Lon.
Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata,

Mujhe Bhool Kar Tujhe Kya Mila,

Meri Hasraton Ka Hisaab Dey,

DiL Torr Kar Tujhe Kya Mila,

Tere 4 Din Kay Pyaar Se,

Mujhe Umar Bhar Ka Ghum Mila,

Main Toot Kar Bikhar Gaya,

Mujhe Torr Kar Tujhe Kya Mila.. !!
Kabhi milay tu usay yeh kehna
K tanha sawan bita chuka hoon
Saray armann jala chuka hoön
Jo sholay bharkay thay khawhishon k woh ansuaon
se bujha chuka hoon
Kahin milay to usay yeh kehna k Baghair us k udas
hoon main
Badalti rut ka qiyas hoön main
Bujha de apni mohabaton se, Sulagti sadiyon ki piyas
hoon main, Kahin milay tu usay yeh kehna
Na dil main koi malal rakhe, Hamesha apna khayal rakhe
Apne sare ghum mujh ko dai de
Or sari khushian sambhal rakhay.
Jin ki Fitrat main Qarar Bhot Tha
Unka Milna Dushwar Bhot Tha
Jo Mere Hathon ki Lakeeron main Na Tha
Mujy Us Shakhs se "Pyar" bhot Tha
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har Phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
kis qadar haseen, kitni shokh lakin bey''wafa
main nay poocha kaun,woh ghabra k boley ZINDAGI