,Saal Beetey, Dil Se Mere

,Saal Beetey, Dil Se Mere
,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
Sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum
  

Jun, 05 2010     530 chars (4 sms)     2553 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek Ye Hi Aarzu Rahi Dil
Me Mud''dato''n Sy

Koi Hume''n Bhi Chahe
Dil Ki Shid''dato''n Sy

Bohat Veeran c Hy
Zindagi Apni

K Koi Nawaz Dy Hume''n
Aa Kr Mohabbato''n Sy
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Milne ka waada unke mon se to nikal hi gaya

MOHSIN ,,

Hum ne poochi jaga to hans k kaha khawab main aa jana ,,
Wo Kitny Mehraban The K Hazaron Gham De Gaye Faraz
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake Piyar K Siwa
DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!
Koi aisa na mila jispar duniya luta dete,
har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete?
Apne dil ka dard dil mein hee dabaye rakha,
karte bayaan toh mehfil ko rula dete...
Mohabbat Aazmani Ho Tou
Bas Ita Hi Kaafi Hy

Zara Sa Rooth Kr Dekho
Mananey Kon Aata Hy
tum say kahnay kay liaay bay-qarar hain hum
such tumharay hi talab-gaar hain hum

waqat milay to kabhi mil ker dekhiay
such baray hi milansar hain hum

sath wafa say nibhaay gay hum
such baray wafa-daar hain hum
Maut ki Akhri Hichki Ko Zara Ghaur Se Sun,







Sari Hansi Ka Khalasa ISi Awaz mAin Hay
jub kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko,

"me tumhen rait k zarron se bhi chun sakta hoon"
Mana K Mere Ishq Me Dard Nahi Tha,

Pr Dil Mera Bedard Nahi Tha.

Hoti Thi Meri Ankho Se Nir Ki Barsat,

Pr Unke Liye Anshu Or Pani Me Koi Fark Nahi Tha.
mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasaanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate

magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate