Yunhi Fasslon Ko Sajay

Yunhi Fasslon Ko Sajay
Yunhi Fasslon Ko Sajay Rakh.
Yehi Intazar Rehne De.

Mere Zehen-o-Dil K Sakun Per.
Mera Ikhtiyar Rehne De.

Teri Chahto Ka jo Dard Hai.
Ye Sub Khushi Se Qabool Hai.

Meri Chashm-e-Num Ka Guma Na Kar.
''Muje Askh Baar Rehne De.

Teri Bebasi Baja Sahi.
Meri Khush Fehmi Bhi Galat Nahi.

Tujhe Har Qadem Per Khushi Mile.
Mujhe So-Gawaar Rehne De.

Meri Guftugu Me Jo Dard Hai.
Wohi Dard Mera Naseeb Hai.

Main bhula Chuka Hon Dard Ko.
Mujhe B-Qaraar Rehne De.
  

Jun, 04 2010     478 chars (3 sms)     2804 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hr Adawat pe Mohabat ko Saja Kar Milna,
Rasm-e-Duniya hai Haqeeqat ko Chupa kAr Milna,
Jis ka Kirdaar hai Sitaron ki Tarha Roshan,
Kitna Dushwar hai ja kar us Shaks say Milna,
Tum Mohabat ko Bhi Fareb Samajhtay ho Faraz,
Us ki Ada Hai Jab Bhi Milna Nigahon ko Jhoka k Milna.
shikayt thi tum se gila na kar sakay

ijazat nahi zuban ko tere khilaf bolne ki..
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Thaam leta humain bhi barh ke koi







Haath hum ko koi mila hota
Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga
Tere Sath Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga
Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki
Tu Dil Ke Aur Karib Aane Laga
Tere pyar ne bahut kuch sikha diya,

Meri khamosh duniya ko jaise hasa diya,

Karzdar hu mein us khuda ki
Jisne mujhe tum jaise humsafar se mila diya.......;->
yeh samjhta hai her aane wala.

main na aao tu tamasha hi na ho.
hAr chnd k hum Akhlaas ka Daawa nhi krte



Hum se milo Gay to Hamain mukhlas paoge
Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..
Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
Tumhara Khat mila..
Wo jis main tum ne pocha hai...

K abb halaat kaise hain..
Mere din raat kaise hain...

Meharbani tumarii hai..
K tum ne is taran mujh say..

Mere Halaat poche hai..
Mere din raat poche hain...

Tumhe Sab kuch bata donga..
Mujhe Itna bata Do K...

Kabhi Sagar Kinaray Per..
Kisii Machli ko dekha hai..

K Jis Ko lehrain Pani K
Kinaray Tak To lati hainn..

Magr phir choor jati hain..

Mere Halat Ayese Hain..
Mere Din raat ayese hain..
sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!

jany kis,kis k ghar gai ho gi.

dair tak wo khafa raha mujh se!

door tak ye khabr gai ho gi.

jis traf wo safar pe nikla tha!

sari rounaq udhr gai ho gi.

ya taluq na nibha saka us se,

ya tabiyat hi bhurr gai ho gi.

teri pal bhur ki dil lagi mohsin!

us ko barbad kr gai ho gi....!