Is raat ki tanhaiyon k

Is raat ki tanhaiyon k
Is raat ki tanhaiyon k
Sab rang badal Gaye hai
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hai
Jin k bharose theen khushiyan
WO badal teher Gaye hai
  

May, 28 2010     154 chars (1 sms)     3757 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ghazal son kar pareshan ho gaye kya
Kisi ke dehan main tum bhi kho gay kya
Yeh beygangi pehlay tu na thee
Kaho tum bhi kisi ke hogay kya
Buland hAthon mAin zenjeeren daal dete hain



Ajeeb rasam chali hai Dua ne maange koi
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
Unho ne apna
haath barhaya
hai
faqt mujhe thamane
k liye,,

Par un se
main yeh kaise kahoon.!!
k mujhe haath

nahi

saathI
chahiye=
Jis ko bhi dekha hai Rotay howey dekha hai..


Ye Muhabbat to kisi tissue waley ki Dua Lagti hai..
ye bhi aadaab-e-muhabbat hain tumhein kiya maaloom
hum tumhein jeet ke haaray hain tumhein kiya maaloom
aik tum ho kay samajhtay he nahi hum ko kabhii
aik hum hain ke tumharay hain tumhein kiya maaloom...
Woh kehte hain k aagar nasib hoga mere,
toh hum unhe zaroor payenge,
hum puchte hain unse, agar hum badnaseeb
hue toh unke bina kaise jee payenge..
Ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi,
Wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi..

Seencha tha jiss chaman ko apnay dill kay lahoo say,
Phir kyu barsaat main koi phool khila nahi..

Na lagaay koi chot is dill_e_ natawan per,
Abhi tu phichla zakham bhi muj say siila nahi..

Mangaa tha jhooliian utha utha kar usay,
Mager humain duwaoon ka koi siila mila nahi..
Un ki chahat me hum zamana bhool gaye,


Un k baad kisi ko apnana bhool gaye,


Unse muhabat hay bataya sare zamane ko,


Bas yehi ek baat unhen batana bhool gaye,
Saanson k silsily ko na do zindagi ka naam...!


Jeeny k bawajood bhi mar jaty hain kuch log
Raat Phir Mujh Sy Rahi
Neend Khafa Der Tak

Yaad Tum Aate Rahe
Be-intiha Der Tak

Dhast-e-Tanhai Me
Ashko''n Ka Sahara Ly Kr

Mene Maangi Tere
Milne Ki Dua Der Tak