wo sari batten khwab huin
or khwab se phir azab huin
jab tumko saba k jhonky se
pegham hmara milta tha
jab meri ek nazar se hi
chehra ye tumara khilta tha
kuch Yad sa tum ko hai Jana''n
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!
Mujhe Teri Batain Tera Qissa Acha Lagta Hai
Tujhse Mera Jo Rishta Acha Lagta Hai
Tere Saath Jo Guzre Bas Wohi Pal Hain Mere
Hana Mujhe Wo Apni Hayat Ka Wo Hissa Acha Lagta Hai
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho
Aaj Itne barsoN ke baad
Jaise kaii sadioN ke baad
Us ne kaha suno
Ab se tum azaad ho
Qafas khulte hi
Par tolte panchi
Ma uRooN kis tarah magar
Us ne Noch dale the mere par
Dabi huii hasrateiN
Na''tamam khwahisheiN
Poori karooN kis tarah magar
Na ab waqt hai na nazar
Dil ke goshoN ma nihaaN
KhwaaboN ki reshmi doriaN
Sapna bunooN kis tarah magar
Sulajhti nahi doriaN ulajh kar
Rasta chalna bhool kar
Ab jaooN ma kis dagar
Ulti ho gaye sab tadbeereiN
Phir pahen li ab zanjeereiN