Aik he mil jaaye toot

Aik he mil jaaye toot
Aik he mil jaaye toot kar chahnay wala bohat hai

Mujh say qanaayet pasand hazaaron ki tamanna nahin rakhtay!
  

Jun, 04 2010     112 chars (1 sms)     2077 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hai nisf e shub wo dewana abhe tak ghar nahe pahuncha,

kisi say chandni ratoon ka qisa chirr gaya ho ga!
Meri Sari yadain aur Arman bas Aap ho,
Main to Jana kuch nahi Pehchan bas Aap ho,
Ge sakta hi nahi jis ke bin tera Amad,
Dil ki dharkan aur meri Jaan bas Aap ho.
Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki,
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki

Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,
Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
jo bhi aave hai nazdeek hee bethey hai terey,
hum kahan tak terey pehlu se khisaktey jaavein...

(aap ko meri poetry kaisi lagi,, rply zrur kijiye ga...)
Pass wo itna tha jaisay dil aur dharkan
Dekhta tu hum dono mein fasla bhi bohat tha
Milnay ki tarhan hum mil na paye thay kabhi
Mera aur uska rabta bhi bohat tha
Itnay arsay mein bhi usay mujh par aitbar na aya
Ye sach hai wo mujhay janta bhi bohat tha
Wo mil kar bhi na mil saka ye muqadar ki baat hai
Meinay duaaon mein usay manga bhi bohat tha
Ruswaai k dar say wo rakh na saka muhabbat ka bharam
Laikin yeh sach hai k wo mujhay chahta bhi bohat tha
Ager jazbaat sachay ho''n...

Wafa k rang pakkay ho''n...

Ager taqdeer saathi ho...

Kisi ki yaad aati ho...

To phir aisay may laazim hay...

Palat ker daikhna ho ga...

Aisa sauchna ho ga...

Kisi ka dair tak takna...

Kisi ka chupkay say ha''nsna...

Koi ma''ni to rakhta hay...!!!
Ankhon mein uter ker


dheery dheery


puraaney gham


Palkon pey


nanhy nanhy


sitarey piro gaey


Ab bachpaney ki neend to


ek khwab ho gaee


Wo din kanhan


k raat huee aur so gaey....
Kabhi aa ker mujhse mil, mera haal mujhse poch...

Ghairon ke kehne pe youn badguman na ho...
Na Jane Hogaya Hon Is Qadar Hassas Main Kabse

FARAZ

Kisi Se Baat Krta Hon To Ankhain Bheeg Jati Hain
Aaj phir dil hai kuch ashar likne ko
Hai woh mere samne mera pyar likne ko
Hai us ka har harf ahsan mujh per
Hai us ka har ahsan ilzam mujh per
Hai us ka har ilzam khawhish meri
Hai har khawhish azmaish meri
Hai woh azmata har mor par mujh ko
Har mor par jata tanha chaor mujh ko
hai Baat mein us ki itni ghahrai
Har ilzam main lagti hai sachai
Baarish Hui Tou
Lag k Dareechey Se
Ghar k Hum

Chup Chaap
Tumhai''n
Sochtey Rahey ... !!!