tumko hum dil me basa

tumko hum dil me basa
tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
  

Jun, 02 2010     358 chars (3 sms)     3181 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mein Udas Rasta Hon Sham ka
Mujeh Aahton ki Talash hai
Ye Sitary Hain sab Bujhy Bujhy
Mujhe jugnuon ki Talash Hai
Her Khushi hai mujhse Khafa Khafa
Mujhe Zindgi ki talash hai
Meri Piyas mein wo talab nahi
Mujhe Tishgini ki talash hai
Ik hajoom sa hai rawan duwan
Mujhe kisi ki talash hai
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
kanch ka tohfaa na denakabi
rooth kr loog torr dia krtey hain


jo bohat achey hoon un seypyar na krna
aksar achey loog hi sath choor dia krtey hain
Tere mohabbat mein meri aakhri saans tak mitadoon,
Bas ek pal uss aakri saans se pehle , mere dil ki baat.. tujhse ikraar
kar jaoon.
Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
aik arse se yeh aankhain soee nahi
hansi nahi
roee nahi
milli nahi
khoee nahi
ek baat thi dil main
jo tum se kabhi kahee nahi
TUM JAISA KOI NAHI
abhi se soch le kay muhabaat fanna kar deti hai,

agar anjaam se darte hai to agaz mat kar..
mein jiss mae kadey mein pahuncha khuda khuda kar k,

Nikla wahan sey na kissi sey wafa kar k,

aur apa hee mein dushman ho gaya,

O bewafa ik tujh sey wafa kar k
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!
Mumkan jo ager hota,
Ham tumko bhula detay,
Yadon ko kafan deker,
Bey waqat sula detay,
Iss Dil sey teray Dil tak,
Dewar utha detay, Mumkan jo agr hota..
Aaj ghum-e-tanhai mia koi meri ankhon se ansuon k sath gir rha hai...

agar wo shakhs bhut azeez hai tumhe tu un ansuon se bujha lo apni payas...
Saanson k silsily ko na do zindagi ka naam...!


Jeeny k bawajood bhi mar jaty hain kuch log