bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.
Tum Mere
Itne Paas Ho k
Main Jab Bhi
Chaho''''n Tumhei''''n Chuu Sakta Hoon
Tumhei''''n Chaha Sakta Hoon
Tumhei''''n Mehsoos Ker Sakta Hoon
Par Darrta Hoon
k
Kahin Mere Chuutey Hi
Ye Manzar Bikher Na Jaye
Aur Main ... !!!