Apne ehsas kay sab

Apne ehsas kay sab
Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do...
  

Jun, 07 2010     452 chars (3 sms)     2580 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mar kar bhi us ko dekhtay rehnay ki chah mein


ankhain kisi ko apni amanat mein day gaya
Tum Ne Kia Na Yaad Kabhi Bhool Kar Humain

Hum Ne Tumhaari Yaad Main Sab Kuch Bhula Dia
Tere Firaaq Mein MuJh Pe Jo Saanhe Guzre.
Agar Wo Din Pe GuzerTey To RaaT Ho Jaati.~!
KuN bechain hai tu aaj itna
Kia gham tujhay satata hai
Kis baat ki hai kasak tujhko
Kia dukh tujhay rulata hai
Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri

Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai

Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi

Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.

un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he?
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do...

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do

Nahi hai shauk bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do............;->
Yad ha tum ne
muje kaha tha

agar kabhi ham
bichhar gaey to
dil mein pyaar ke jugnoo bhar ke
kuch pall muj ko dhondtey rehna
dekhna main phir laut aaon gi
lekin..
teri yaad mein ab tak
main aur jugnoo bhattak rahey han
Tum jo her baat pay daitay ho prindon ki misaal...

Is ka matlab hai tere shehr say hijrut ker lon?
taamul to tha unn ko aane mein a qasid...

mgr ye bta tarze inkar kia tha.
Ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.