Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya
Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya
Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya
Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya
Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya
Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya
Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya
Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--