Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,
khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai.
Ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,
taki door kar saken andhere ka gham.
Tej andhi ne shama ka vajood
usi andhere me dubo diya hai.
Chahron mein Ek chahra khojne ki aadat ha
Mujh ko Bheer mein beth kar sochnay ki aadat ha
Gila ho kabhi to keya un se sitam giri ka ke jinhen
Phool Shakhon se nochnay ki aadat ha.
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai