Unke chehre se nzr hata sakte nahi,
Dil ki betabi ko dikha sakte nahi.
kitni dilchasp hai mohabbt ki majburiya,
Samne manzil hai aur kadam bada sakte nahi
Meri muhabbat mein ik yeh mojza bhi ho raha hai
Jisay mein chah raha hoon wo mujh say juda ho raha hai
Ussay lakh bhulana chah raha hoon bazahir tu mein
Par wohi meri duaon mein sar-e-harf-e-dua ho raha hai
Kya ussay ab zaroorat nahi meri diwangi ki
Kyou aisa ehsaas mujhay k wo be-wafa ho raha hai
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Ye Sar Ko Na Jhukane Ki
Badan Se Qasam Leta Hy
Dilo''n Ki Har Tamanna Pr
Ye Kaari Zarb Hota Hy
Aur Is K Har Taqaze Mein
Bala Ka KArb Hota Hy
Ye Dunya Ki Kisi Talkhi Se
Derne Bhi Nahi Deta
Ye JEene BHi Nahi Deta
Ye Marne Bhi Nahi Deta
Agar Jeewan Ki Raaho''n Main
Jo Chahat Ko Kabhi Chaho
Rahat Ko Kabhi Chaho
Kisi k Saanp Lafzo''n Se
Isay Daswana Parta Hy
Mohabbat Kerne Se Pehle
Isay Dafanana Parta Hy
Anaa Ek Aisa Pathar Hai
Jo Mann Main Janam Leta Hy
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay
Na Ziker Ker Meri Aada K Bary Mein
Hum Bhi Janty Hain Sab Kuch Wafa K Bary Mein
Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhty Hain
Jinhy Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bary Mein