Kis ehad ki batain karte ho
kab kon kisi ka hota hey
Kub kon kisi ki Chahat main
Yun Zehar ka Sagar peeta hey
Ye Hijr,Murawat Mehr-o-wafa,
Sub Rasmi Rasmi Batain hain,
Her Shakhs Khudi ki Masti main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai :)
Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
CHup CHaap tamasHa daikHay ga boLa tHa zamana tHeek naHeen
KHamosH sitaroon ko takna aur aansoon bHana tHeek naHeen
Main jHooti sacHi baatoon se kHud ko beHLa Longeen Lekin
MiLna Hee naHeen to sacH boLo fursat ka bHana tHeek naHeen