Mitti ka jism leke pani

Mitti ka jism leke pani
Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu,

Manzil hai maut meri har pal safar me hu.

Hona hai qatl ye malum hai mujhe,

Lekin khabar nahi kis-kis ki nazar me hu.
  

Jun, 03 2010     165 chars (2 sms)     4344 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

sab jaan ke bhi mujhse vo bhulaya na gaya
uske diye pyar ka koi bhi nishaan mitaya na gaya
chaha bahut maine ki dafan kar dun uski sab yaadein
vo tuti hui chudi vo barsaat ki raatein,
vo aaine pe lipstick ka nishan vo mahobaat ki baatein
mujhse mere hi dil pe ye sitam dhaya na gaya
koi yaad uski or apni hateli se uska naam mitaya na gaya
ye jo rishton k tarazu hain sabhi jhoote hai..,

is dikhaaway ki mohabat se nikaalo mujh ko....!!!
sirf ek bar apne honton se mujhe apna keh do

mohsin

phir mehfil me raqeebon ka tamasha dekho..
Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain ....;->
bus itna hi kaha tha hum barso k piyasey hain.
honto ko us ne choom kar khamosh kar dya.
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan , , ,


Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan , , ,


Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main , , ,


Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan . . .
Raat kya dhali sitarae chale gaye ,
gairo se kya kahe hum jab apnae hi chale gaye ,
jeet to sakte te hum bhi ishq ki baazi ,
par usko jetaane ke liye hum haarte chale gaye!!!!
Vo khush hue jab hum dil se roye,
Raat bhar jage to vo chain se soye,
Unhe de di humne phoolo ki sajja,
Aur sare katein apne path par boye
Mein chahta hee na tha lajawab kerna tumhein
Werna jawab mere pas her sawal ka tha
Tumhari jeet se humy khushi hoti hai
Yehi jawaz mere pass apni haar ka tha
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
zindagi pe is se bherh k tanz kya hoga faraz?
us ka yeh kehna k to shaayer hai, deewana nahin*
main es baat se darta hon k kahain pooch na le.
agar yeh zabat ka ansoo tha tu tapka kase.