Her Su Raqabton Ka

Her Su Raqabton Ka
Her Su Raqabton Ka Dehekta Alao Tha
Uss Shehar-E-Dostan mein Ghazb Ka Tanao Tha
Phir Youn Hua K Uski Aana Usko Kha Giye
Werna Uss Aadmi mein Bara rekh rakhao Tha
  

Jun, 02 2010     164 chars (2 sms)     2310 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,
Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.
Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,
Tum Hans k Guzara Kar Laina.
Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur Neend na Aaye Ratoon Ko,
Tou Doub K Meri Yadoon Main Duniya Sa Kinara Kar Laina.
Jis Waqt Janaza Guzray Ga Iss Shakhs Ka Teray Kochay Sa,
Jazbaat Pe Qabo Kar Laina Khirki Sa Nazara Kar Laina.
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya
khud ko chuntay huway din sara nikal jata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikKhar jata hoon
Wo to AMBER hai,
Ussay Apnay Anchal pay
Chaand Sjanay ka huq hai
Main to Fakat Khushbu hoon
Or khushbu k Muqadar main
Aazl se Bikhar Jana hi Likha hia


Us k Naam jo Zindagi ki Raah main Mera Saath choor k ab pachta raha hai
Apne Aap Mein Simte Rehna Acha Lagta Hai
Chup Chaap Kuch na Kehna Acha Lagta Hai
Ham Nahi Kabil Teri Chahat K
Phir B Teri Chahat Mein Rehna Acha Lagta Hai
yeh samjhta hai her aane wala.

main na aao tu tamasha hi na ho.
Tum Bhi Mujhe Chaho Gay Ek Din Dekhna
Haan Pachtao Ge Ek Din Dekhna
Iss Ishq NE Mujhe Jalaya Hai
Tum Bhi Jal Jao Gay Dekhna
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Suljha Hua Sa Fard Samajhty Hain Mujh Ko Log.




Uljha Hua Sa Mujh Main Koi Doosra Bhi Hae !!
Ye Sach Tha Mujhy
Ishq Nahi Tha Lekin

Tujhy Paa Ker
Ehsas-e-Wafa Hota Hy

Itna Socha Hy Mene
Tujhy Shaam-o-Seher

K Khud Me Tere Hony
Ka Gumaan Hota Hy
Shikwah hai meri chup ka Sarosh aaj unhii ko
jo log meri batoon se bezaar buhut thay
zindagi se derte hoe?zindagi to tum behe
zindagi to hum behe zindagi se derte ho!