Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Tor di har aas ki dori,
Aason mai kia rakha hy,
Ishq, mohabat hyn sab baatyn,
Baatoon mai kia rakha hy,
Qismat mai jo likha hy,
Aksar ho kar rehta hy,
Chand lakeryn uljhii si,
Warna haathoon mai kia rakha hy
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!