Dik k HanGamay mein

Dik k HanGamay mein
Dik k HanGamay mein soyA TerA Gham,

JAAG utt''ta Hai sAr-E-Shaam Ankhon mein.
  

Jun, 03 2010     81 chars (1 sms)     2557 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

**ANNA!!***
kisi mehrbaani ki boond say,

mujhay mera sehra azeez hay,

kisi maangi chhaaon ki bheek say,

meri dhoop dhoop azeem hay,

kisi tars khaatay ujaalay say,

mujhay naaz apnay andheron par,

mujhay gham-gusaaron ki bheer say,

es akailay-pan pay gharoor hay...!!
Dil or dunia main sirf itna fark hai
k is duniya main bohot sai log rehtay hain
or is dil mai sirf app....
Meri umer bhar ki shairi...

bus ek shakhs k gird..
Maine kab chaha k wo zindagi mere nam ker de....

bus mujhey chaha itna sa kaam ker de...

her rooz kuch lamhe mujhey soocha kare...

kub kaha k meri yad me subh-o-shaam ker de...
tumhare bus main ager ho, to bhool jao hamain
tumhain bhulane main shayad,hamain zamana lage
Mujhe tum nahi Samjhe
Mai tum ko nahi samjha
Mohhabat to Mohhabat hai
Mohhabat Ker Kay Mai Samjha
Jise Jitna Main Chahoon Ga
Wo To Uttna Na Chahey Ga.

Mager Ye Waqt Ne Batlaya
Jo Tujh Ko Bhool Jaye Ga
Ek Roz Uspe Pe Bhi Kabhi
Ye Waqt To Aye Ga.

Tu Usko Yaad Aye Ga.
Bouhat Uss Ko Rulaye Ga.
Han !
Ek Roz To Eesa Bhi Waqt
Aa Hi Jaye Ga.
Faqt Wo Pathtaye Ga.
Faqt Wo Pathtaye Ga.
Unke chehre ko ankhn s hata sakte nhi
dil ki betabi ki surat dikha sakte nhi
kitni dilchasp hain Mohabbat ki majburiyan
samne manzil ha or kadm bada sakte nhi
Bohut he mudat k baad kal jub kitab-e-maazi ko main ne khola, bohut se chehrey nazar mein utrey bohut se naamon pe dil piseeja,ik aesa safha bhi uss mein aaya, likha huwa tha jo aansuon se,k jis ka unwan Pyaar tha, ye safha sub se he moutaber tha, kuch or aansu phir uss pe tapkey,phir uss se aagey main parh na paya,kitab-e-mazi ko band kar k ussi ki yaadon mein kho gaya main,agar hum saath hote tu Kesa hota,inhe khayalon mein so gaya main.....!
Baithe-Baithe jindgi barbad na kijiye. Jindgi milti hai kuchh kar
dikhane k liye. Roke agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman
jhukane k liye.
wo tha to kahin waqt thehrta hi na tha mohsin...

ab waqt guzrny mein bohat waqt lagta hei.
Raat sunti rhi mai sunati rhi,

Dard ki dastaan mai batati rhi,

Log,logoon se chahat nibhatay rahay,

Ik wo tha,jo maira dil jalata raha.
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay