Karke mujhe deewana

Karke mujhe deewana
Karke mujhe deewana jaa rahe ho kyo,

Kaise kiya tha Humsafar banne ka Vada,

Ye jara likh dena!

Agar teri nazaro me mera pyar Ek zurm hai to

Tum apni taraff se

Mujhe koi Saza Likh dena.
  

Jun, 03 2010     199 chars (2 sms)     2772 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"sunoo"

tum zraf waly ho
bala ka ZABT rakhty ho
tumhen kuch bhi nahi
hoga
"MAGAR"
JISY TUM CHOOR JATY HO
ussy to theek see shayad

"BICHRNA"
BHI NAHI AATA
Har ghari imtihaan mein guzri

Zindagi tere dhyaan mein guzri

Agli sadiyon mein ghar bana lena

Ye sadi to uraan mein guzri....
Socha tha is baar un ko bhool jaen ge

Dekh kar b un ko andekha kar jaen ge

Phir jab jab samne aaye chehra un ka

Socha!!

Is baar dekh lain Agli baar bhool jaen ge.
Sache dil se karo fariyaad to
Duniya ki har ek cheez milti hai.
Jis par khuda ki rehmat ho jaye
Use kaanto me bhi khushbu milti hai.
woh Aadmi Hai Aam Sa..
Ek Qissa Natamaam Sa..
Na Lehja Be-misal Hai,
Na Baat Main Kamal Hai..
Hai Dekhne Main Aam Sa
Udasiyon Ki Shaam Sa
Jaise k Ek Raaz Hai
Wo Khud Se Be-niyaaz Hai
Na Mehjabinon Se Rabt Hai
Na Shohraton Ka Khabt Hai
Ranjha, Na Qais Hai Koi..
Insha, Na Faiz Hai Koi
Woh Peker-e-Ikhlas Hai...
Wafa, Dua Aur Aas Hai...
Wo Shakhs Khud Shanaas Hai,
Tum Hi Karo Ye Faisla!!!
Woh Aadmi Hai Aam Sa?
Ya Phir Bohat Hii Khaas Hai...?
Ek Tum Hi Jahan Mein
Humare Na Huey

Werna Dunya Mein Kia
Nahi Hota

Tum Mere Paas Hotey
Ho Goya

Jab Koi Duusra Nahi
Hota ...
mahobbat me mene kya kuchh nahi luta diya?mahobbat me mene kya kuchh luta nahi diya?unko pasand thi roshni!!or mene khudko hi jala diya.....
Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat
Ab To Aruj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat

Wohi Waade Hai Or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi
Kab Badalti Hai Zamane Ki Riwayat
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain

Tujhey khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say kaam mukaddar pay taal rakhtay hain

Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaal rakhtay hain
Chaha hai maine bohat shiddat se tum ko
Main tumhain bohat shiddat se yaad aaonga

Yun sakoon se tum kabhi bhi so na sakoge
Ban ke Dil ki kasak raat bhar jagaoonga

Ab ke baras sawan Dil main aag lagaye ga
Bhigo gi tum jab bhi baarish main main yaad aaonga

Her shair her nazam main nazar aayengi meri baatein
Parhoge jab bhi koi shairi main yaad aaonga
Raaste mein gire hai phool uthata hai koi koi
Mohabbat karte hain sabhi , nibhata hai koi ko
Tujhe waqt ho tu ye bazi khel k dekh ly

Hai ajeeb nasha muhabbaton main shikast ka.....