phuulo.n kii aarazuu me.n

phuulo.n kii aarazuu me.n
phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n

us par haraam hai Gam-e-dauraa.N kii talKhiyaa.N
jisake nasiib me.n terii zulfo.n ke saaye hai.n

mahashar me.n le gaii thii tabiyat kii saadagii
lekin ba.De Khuluus se ham lauT aaye hai.n

aayaa huu.N yaad baad-e-fanaa unako bhii ''Adam''
kyaa jald mere siikh pe imaan laaye hai.n
  

Jun, 03 2010     392 chars (3 sms)     2877 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ye dil ka parinda bhi ajab shey he keh jisne,

Pyasa bhi raha dasht se hijrat bhi nahen ki.
shaid woh milay un hi raahon par

jin raahon par chora tha usay...

kirnon ki kaliyan chuntay huye...

meri janinb dortay atay huye,

phir ruk kar wapas jatay huye...

shaid wohi mausam ab tak ho

jis mausam mein dekha tha usay.....
Houslay Zindgi K Dekhtay Hain..

Chalo Kuch Roz Jee K Dekhtay Hain..

Barishon Say To Pyas Bujhti Nahin..

Aao Ab Zeher Pee K Dekhtay Hain.../
hasee''aankhon ko parhne ka abi tak shoq hai mujh ko...

mohabbat main ujarr kar bhi meri aadat nahin badli..
Mizaaj-e-waqt ki kab tak haqaratein sehti,

ana shanas thi wo to kab ki mar gai
ho gi.
Wo Bachpanay Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gai...


Kya Omar Thi K Raat Hoi Aur So Gaye... O_O
Aaj us k nam sari rat honi chahiye
Aaj to har bat us ki bat honi chahiye
Roth jaye sab se ham or wo bulaye pyar se
Shehr bhar mai ek to esi zaat honi chahiye!
Unsay dur janay ka irada na thaHamesha sath rahnay ka b vada na thaWoh yad na karein ge ye jantey thay hmPer itni jaldi bhool jaen gay andaza na tha.
mein jiss mae kadey mein pahuncha khuda khuda kar k,

Nikla wahan sey na kissi sey wafa kar k,

aur apa hee mein dushman ho gaya,

O bewafa ik tujh sey wafa kar k
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
"Phool Chunte Waqkt Kaanto Pe Bhi Nazar Rakhna
Muhobaat Mei Mom Ka Dil Aur Patthar Ka Jigar Rakhna"
dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay

rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay

jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay

dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay

thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay