Khusbu Se Hawaon Se

Khusbu Se Hawaon Se
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
  

Jun, 03 2010     188 chars (2 sms)     2175 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hum ap k dil main rehte hain,
Is liye her dard sehte hain,

Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
Is liye sub se pehlay "Happy Ramadan ul mubarak" kehte hain
Shaam Tak Subha ki Nazron se Utar Jaatay Hain
itnay samjhoto pe jeetay Hain ke Mar jaatay Hain

Hum to Be Naam iraadon ke Musaafir Hain "Tanha"
Kuch Pata Ho to Batayen kidhar Jaatay Hain

Ghar ki Girti Hui deevarain Hi Mujh se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain

Ek judai ka wo Lamha ke jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay thay Sab WaQt Guzar Jaatay Hain

Phir Wahi Talkhi-e-Haalat MuQaddar Thahri
Nashe Kaise bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain
Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meharban Raho,

Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai,

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Saath Raho,

Gair Ka Haath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,

Aarzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhoon,

Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,

Roz-o-Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko,

Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai...!!
Jin ki Fitrat main Qarar Bhot Tha
Unka Milna Dushwar Bhot Tha
Jo Mere Hathon ki Lakeeron main Na Tha
Mujy Us Shakhs se "Pyar" bhot Tha
Apne Aap Mein Simte Rehna Acha Lagta Hai
Chup Chaap Kuch na Kehna Acha Lagta Hai
Ham Nahi Kabil Teri Chahat K
Phir B Teri Chahat Mein Rehna Acha Lagta Hai
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.
ghar aankh sey ansoo chchalak pardey,
dekhey gha nazarey falak bardey,

wo na jayein hamein chord kar, ik sheesha tord kar,
issi liye rokney ko rasta hum sham sey rasty par hein khardey
ye sb rasty k sathi hain inhen akhir bicharna hy,


chlo ab ghar chalein"SAGAR" bohat aawargi kr li..
waqat bhi shayad insaan ki terha hai faraz.

hanste howe ata hai or roty howe guzer jata hai.
Lafzoon Ki Haira Pehri Main Kuch Faida Nahi
Jab Dil He Rayga Hai To Kuch Rayga Nahi

Kehnay Ko Kitni Batain Hain Karnay K Wastay
Kuch Lafaz Ki Kami Hai Kuch Hoosla Nahi

Dayta Hai Baat Kar Kay Kuch is Tarhaan Zakham
Jaysay is Maseha Ka Koyee Chara Gar Nahi
Bettha Hai Aab Woh Mujh Say Baat Karnay Ko...
Jab In Tamam Batoon Ka Koyee Faida Nahi
maine khuda se pucha
keemat kya hai pyaar ki
khuda bola
AANSU BHARI AANKHEIN AUR UMAR INTEZAAR KI..!!!
woh kahti the ki
suno !
Mohabbaton main dooriyan
Mohabbaton ko or Mazboot bana deti hain
laikin
isse shyd yeah khabarr nhi hai
keh Fasle..
Dilon par bane Naqsh be to Dhundla dety hain