Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se
Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..
  

May, 28 2010     164 chars (2 sms)     3540 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Rukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo''n main Ujarty Dekha
Maa Tanhiee koo Dost Bnaa Bethaa Hnoo
Jisaa Chataa Thaa Ysaa Gwana Bethaa Hno

Abb koi is Dil Kee Faryaad Na Sunaaa
Jisaa Pukarta Thaa Is Gwana Bethaa Hno

Buss Mujaa Anii Moot Kee Tmna To na Thii
buss Kuhdd He is Khale ko Khale Betha Hnoo
phool sitare dariya un aakhoN ke naam,
humne likhyeN hai kya kya un aankhoN naam...

jin aankhoN ne meri nindeN chhinii hai,
mera her ek sapna un aankhoN ke naam...

kuch bhi kaho lagta hai jaise baat adhuri ho,
sher kahe hai kya kya un aankhoN ke naam...

aaj se unke sare bandhaN mere hai,
aaj se har ek rishta un aankhoN ke naam...
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
Woh Ek Shaks Jo Hamein Zindagi Say Piyara Hai
Baghair Us K Veraan Ye Jahan Sara Hai

Woh Nahi Janta K Uski Zaat Kiya Hai
Wohi Tu Hai Jo Muhabbat Ka Ek Sitara Hai

Yehi Tu Ada Hai Jisney Hamein Mara Hai
Woh Kiya Tha Kiya Hai Kiya Hoga Kiya Khabar
Yehi Pata Hai Woh Jesa Bhi Hai Bas Hamara Hai
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Raat Bhi Gahri Thi Hum Daar Bhi Sakte They

Hum Jo Kahtey They Kar Bhi Saktey They

Who Jo Bichra To Yeh Bhi Nahi Socha

Hum To Pagal They Maar Bhi Saktey They!!
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko

Hum to SHAYAR na they kabhi.....

SHAYARI to unki YAADON ne sikha di hume !!


Hum to ASHIQ na they kabhi.....

ASHIQUI to unki BAATON ne sikha di hume !!


Hum to DEEWANE na they kabhi...

DEEWANGI to unke PYAR ne sikha di hume !!


Hum to ROTE na they kabhi....

RONA to unki TANHAIYO ne sikha diya hume !!


SHABDO KO PYAR BHARE ALFAZO mein bolne wale to hum na they....

IS TARAH bolna unki MOHABBAT ne sikha diya hume !!


APNE PYAR KA ISHAAR karne wale to hum na they....

lekin unke IKRAAR ne ISHAAR karna bhi sikha diya hume......;->
apane chehre se jo zaahir hai chhupaaye’n kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aaye’n kaise
Dard Se Kehlna Seekh Gaye Hum
Gham Ko Jhelna Seekh Gaye Hum
Kia Bataon Meri Zindgi Ne Kis Qadar Tora Mujhe
K Mout K Saath B Kehlna Seekh Gaye Hum
aisa kya likhoon k tery dil ko tass''alli pohanchy..""

kya yehi kafi nahi k meri duaaon mein tum ho...""