jab seena gham se bojhal

jab seena gham se bojhal
jab seena gham se bojhal ho or yaad kisi ki aati ho

tab kamre main band ho jana or chupke chupke ro lena

jab ankhein baghi ho jayen or yaad main teri bhar ayen

phir khud ko dhoka mat dena or chupke chupke ro lena

jab palken karb se moondi hon or sab samjhen tum soy ho

tab moon pe takiya rakh lena or chupke chupke ro lena

ye duniya zalim duniya hai ye bat bohat phelaye gi

tum samne sab k chup rehna or chupke chupke ro lena

jab barish chehra dho dale or ashk bhi bonde lag ti hoon

wo lamha hargis mat khona or chupke chupke ro lena
  

Jun, 05 2010     561 chars (4 sms)     3165 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Biryani khany ki dua neet karta hon main 4plate biryani ki wasty 15
say 20 botion kay bamay zarda rayta aur salad ky mun mera deeg ki traff
Bismillah
kab tak rotey raho gay apni kismat per dost.

yahan tu phool be rukh badal letey hain aksar shaam k bad.
Utar Parhy hAin to Darya se PoochnA KaisA,



K


Saahilon mAin udhAr kitnA Paani hY.
barisho k mosam main yadain jaag jati hain.

k her gari stati hai barishon k mosam main.

koi zahan k johrke main jub sada ubre.

ankhain beagh jati hain barishon k mosam main.
Us ajnabi ka youn na intezaar karo,

Is aashiq dil ka na aitbar karo,

Roz nikla karen kisi ke yaad mein aansoo,

Itna kabhi na kisi se pyaar kia karo,
wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,
kaha tha na....
mujhay tum iss tarha sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
mei abb sonay se darta hon
Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se..
Wada karte hai Dosti nibhayenge,

Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge.

Jarurat pade to DIL SE pukarna,

kisi aur ke DIL me honge to bhi chale aayenge
Bicherte Waqt Kyun Na Perh Saka Nighaon Ki Zuban
Usey To Iss Fun Per Pura Uboor Tha
Ab Ek Mujrm Ki tarah Nadim hai Mujhe Chah ker
Kabhi Is Khata Per Usey bara Garor Tha
Main dukhon k jahan mian rehta hon..tu muje kyun udaas kerne chala ata hai.!
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.