Ik chand tanha khara raha

Ik chand tanha khara raha
Ik chand tanha khara raha
Mere aasamn se zara parey

Mere saath saath safr mein tha
Meri manzilon se zara parey

Teri justju k hisar se
Tere khawab Tere khayal se
Mai wo shaks tha jo khara raha
Teri chahton se zara parey

Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo bhi dabi dabi
Mere lafz poorey to thay magr
teri sma`aton se zara parey

Tu chala gya mere hamsafr
Zara dekh murr k to ik nazar
Meri kishtiyan hain jali hoi
Tere sahilon se zara parey
  

Jun, 04 2010     469 chars (3 sms)     4589 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sagar jasi baat kiya kare koy
Khumaar k sahare jiya kare koy

Gah bey gah meh samjh kar
Ashkon k peyale piya kare koy

Sham ufaq ki dastaan sun kar
Nadani main zakham siya kare koy

Yun khelte khelte na KHUDA
Mere safine dabo diya kare koy

Saman hum bhi ho jayeen nayab
Rang_o_alam pare kiya kare koy
Din Akele Raat Tanha Kat Di Mein Ne
Doston Mein Sari Khushiyan Bant Di Mein
Jeevan Ki Bhag Dor Mein Mujhe Mila Hee Kia
Pane Ki Umeed Mein Zindagi Kat Di Mein Ne
neend ko aankhain krib hone nhe deti.

achi hai uski yaad jo sone nhe deti.
Mohabbaton mein ham loag jhuka nahin kartay
Lafz MOHABBAT lab say adda nahin kartay
Jo palat kar dekhay per sadda na day
Us shakhs k liay ham ruka nahin kartay...
Hazaron Tukery Kiye Us Ne Merey Dil K Magar Faraz..



Khud Hi Ro Para Her Tukrey Per Apna Naam Dekh Kr....!!!
Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan
usy meri mohbat pr brosa he na tha.

mohsin

pher wo q logo ko mri wafaon k hawaly dta hy.
Mujh may khushbu basi usi ki hay...


Jaisay yeh zindagi usi ki hay...


Woh kahee''n aas-paas hay mairay...


Ho na ho yeh ha''nsi usi ki hay....


Ab to khuwaab hi nahee''n mairay....


Ab to neend bhi usi ki hay....


Ya to koi kami nahee''n mujh may...


Werna mujh may kami usi ki hay....!!
Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
Tere tan ki khushboo se manoos hon mein,
Magar ye achanak,
Ye anjani Khushboo ka madham sa jhonka,
Teri Khushboen mein mad Gham hua ha,
Mujhe is ke bare mein kucha na batao,
jao.....
Ye kapray badal kar to aao,
Mere lub ki atni hi junbish bohat ha,
Ke pehloo mein tere
Na ab soo sakon ga......!
Yoon To Duniya Dekhne Mein Bohat Khush Rang Thi _ _ _

Kabar Mein JaTE Hi Is Ki HaqIqat Khul Gai _ _ _ ;->