na milta Gham to barbaadi

na milta Gham to barbaadi
na milta Gham to barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay

agar duniyaa chaman hoti, to viraanay kahaan jaatay

chalo achaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa

agar hotay sabhi apanay, to begaanay kahaan jaatay
  

Jun, 02 2010     212 chars (2 sms)     2594 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Muhabbat Main Maine Kya Kuch Nhi Luta Diya,


Unko Pasand Thi Roshni Or Hamne Khud Ko Jala Diya....
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
ajeb kashmakash k raastay hain
Bari kathin yeh musafatain hain
Main jiski raahon main bujh gaya hoon
Usi ko mujh say shikayatain hain
Shikayatain sab bja hain laikin...
Main kaisay usko yaqeen dilaon?
Usay bhulaon tu mar na jaon
Main aisay khamosh imtihaan main
Kahan kahan say guzar gaya hoon
usay khabar bhi nahi hay shayad
Main dheeray dheeray bikhar gaya hoon....
Tere sajde kahin tujhe kafir na kr den,
MOHSIN,

Tu jhukta kahin aur hai
AUR,
sochta kahin aur.....
Mohabbat MusaMo ki Qaid Se Azad Hote Hai





Suno ! Suraj Nikalane ka koi MusaM Nahi Hota
Humain hasrat nahi tumharay in charagon ki,
hum woh hain jinkay dil loo diya kartay hain!
Mey apni Zaat chor aya hun,
Hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,

Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun.

Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera

Dil kay jazbaat choor aya hun.
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
Wo ek Shakhs k jis se shikayaten theen bohat,
Wo aziz tha us se Muhabbaten theen bohat,
Wo jab mila to dil mein koi Talab hi na thi,
Bichar geya to hamari Zaruratien theen bohat,
Wo yon mila ke jaisay kabhi mila he na tha,
Hamari zaat pe uski inayaten theen bohat,
Hamen khud apnay hi yaron ne kar diya ruswa,
Ke baat kuch bhi na thi or Wazahatein theen bohat,
Har mor pe hum totetay bikhartay rahe,
Hamari rooh pe tanha qayamaten theen bohat.
Mujhy Itna Na Chaho k
Main Khud Ko Tum
Samajh Betho''n

Mujhy Ehsaas Rehny
Do Meri Apni Bhi Hasti
Hy ... !!!
Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jaty hain.
Us ne Apni

Saari Keemti Cheezen

Utha Kr.....

Sanbhaal LeiN

Siwaye Meray..!!!!