aaj barish ka jo imkaan hai dil ye kahta hai

aaj barish ka jo imkaan hai dil ye kahta hai
aaj barish ka jo imkaan hai dil ye kahta hai.

yaad kar k wo mujhy roya ho ga kahain phir.
  

May, 27 2010     92 chars (1 sms)     2911 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

Magar aise hum the nahi banaaye gaye hain.
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
wo mujay chore kr Gia To mujay yaqeeen Aya





koi B shakhs Zrori Nhi kisi k liay
Tere sajde kahin tujhe kafir na kr den,
MOHSIN,

Tu jhukta kahin aur hai
AUR,
sochta kahin aur.....
apni tamna se kbi kuch chaha tha humny,

teri he khushi ko dhondhty rahy to badnaam ho gaye..
Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Mere Her KHUWAB Per Apni HOKUMAT Chahta Hai
Mere Her LAFZ Mein Jo MUJ Se Barh Ker Bolta Hai
Mere Her LAFZ Ki Muj Se WAZAHAT Chahta Hai
Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon
To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasaanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate

magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate
Pal Pal Dhadkane Bekarar,


Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar.


Unhi Ko Bhulane Ki Koshish,


Karti Aankhen Unka Intezar;


Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?
Dil jis cheez ko haan kehta hai zehan usi ko kehta hai naa

Ishq mein uff ye khud hi se larna ek sazaa hai seene main
Charagh Bujhtey Chaley Ja rhey Hain silsilawar....






main khud ko Dekh rha hoon Fasana Hotey hue