bay sabab tu nahe tairee yadain ......
bay sabab tu nahe tairee yadain
tairee yadon say kya nahe seekha
zabt ka hosla barha laina
ansoaon ko khain chopa laina
kanptee doltee sadaon ko
chop kee chader say dhanp ker rakhna
bay sabab bhe kubhe kubhe hasna
jub bhe ho baat koi talkhee kee
mozo-a-gotagoo badal daina
bay sabab tu nahe tairee yadain
tairee yadon say kya nahe seekha
samajhte the magar phir bhi na rakhin doorian humne
charagon ko jalane mein jalali unglian humne
koi titli hamare paas aati bhi to kya aati
sajaye umar bhar kagaz k phool aur pattian hamne
charagon ko.............
yuhin ghutt ghut k mar jana hame manjoor tha lekin
kisi kamzarf par jaahir na ki majburian hamne
charagon ko...........
hum us mehfil mein bus ek bar sach bole the ae baali.
zabaan par umr bhar mehsus ki chingarian humne charagon
Pereshan Hai Dil Aur Zindagi Udas Bhi
Tanha Hon Mein Aur Sab Kuch Mere Pas B
Lagta Hai Mein Hoon Per Mein Hoon Bhi Nahi
Sab Kuch Mila Bhi Aese Jaise Kuch Mila Hee Nahi