Samay K Saath Gar Hum Bhi

Samay K Saath Gar Hum Bhi
Samay K Saath Gar Hum Bhi
Badal Jate Tou Acha Tha

Bohat Armaan Thay Dil Main
Nikal Jate Tou Acha Tha

Na Sheeshay K Hi Reh Paye
Na Pathar K Hi Ho Paye

Kisi ache Se Saanche Main
Jo Dhal Jate Tou Acha Tha

Giray Tou Yun Giray Pee Ker
Giraya Sab Ne Nazro’n Se

Zara Larkhara Kar Hi
Sambhal Jate Tou Acha Tha

Wo Hum Se Aise Roothey Hain
K Hum Andar Se Tootey Hain

Kisi Bache K Manind Hi
Machal Jate Tou Acha Tha

Safar Main Ho Koi Saathi
Tou Aasani Si Rehti Hai

Akaile Pan K Zalim Pal
Jo Tal Jate Tou Acha Tha
  

Jun, 04 2010     539 chars (4 sms)     3231 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ay kaash kabi esa hota
tujh ko sirf mujh se piyar hota
kismat ka ye shahkar hota
waqt humara gulam hota
teri aankhon main halkore khata hua
wo aks sirf mera hota
duniya ka na phir koi dar hota
dushman na koi humare beech hota
ye zamana humara meet hota
mere labon pa tera geet hoya
main mar b jaoon to kiya hota
tu zinda hota mera piyar zinda hota......
Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu,

Manzil hai maut meri har pal safar me hu.

Hona hai qatl ye malum hai mujhe,

Lekin khabar nahi kis-kis ki nazar me hu.
Mere Shikw0n Per Usne Hans K Kaha,"Faraz"

Kis Ne Ki Thii "Wafa" Jo Hum Karte...
apni taqdeer mein to kuch aisay he silsilay likhay hain.

koi apna kr bhool gya,kisi ne bhool kr apna liya..
Adha Chand aur pUra dukh

jab se tum bichar gaey ho tab se

Adha Chand aGar dekhon to

mEri ankhain bhar aAti Hain.
tumhe to naz boht dosto''n py tha "jalib"

alag thalag sy ho kia baat ho gaei piaray.
Itna Toota Hoon k choone se Bikhar jaonga





Ab Agar aur Dua Doge To marr jaonga
AGar HuM DosT HoTaY To
KaRaM Ki InTehA KarTaY
TumhaiN PaLkoN PaY RakhTaY HuM
TumhaiN DiL MaiN BaSaTaY HuM

AGar TuM RooTh JaTaY To
TuMhain KiTna ManaTaY HuM
Jo MiLnaY TuM Nahi AaTaY
To Aa Kar KhuD TumhaiN MilTaY


TumhaRi LaghZishoN Ko Bhi
HanSi MaiN HuM Ura DaiTaY
AGar Apni KhaTa HoTi
To KhuD Ko Bhi Saza DaiTaY


MaGar Yeh Sab Jabhi HoTa
AGar HuM DosT HoTaY
MaGar ITna Hi Jana HaI
K TuM NaY Aaj Tak HuM Ko


ParaYa Keh Kar Jana HaI
KaBhi HumDuM Naa Mana HaI
AGar HuM DosT HoTaY To.....
kya pochtay ho kaisa hu???

ek sard hawa ka jhonka hu..

hai meri rooh main bechaini..

mai apnay aap main uljha hu..

hai mera saaya aur koi...

main aur kisi ka saaya hu..

tu khush hai apni dunya main..

mai teri yaad main jalta hu..

abb lot k aa aur daikh mujhay...

ik umar say tanha tanhahu...
Us ki jafaoN Ne muje ik Tahzeeb Sikha di hy ''m0hsiN''

main rotay huay so jata hoon Par Shikwa nahi krta
MUDDAT HUI HAI YAAR KI AAI NAHI KHABAR,
LAGTA HAI QASID BHI RAQEEBON SE JA MILA..
hairaa''n hon k mujh se hi maidaan jeet kar,

usko meri shikast ka dard chhorta nhi...