Tu B kise ka pyar na paye

Tu B kise ka pyar na paye
Tu B kise ka pyar na paye Khuda karain,

Tujh ko tira naseeb rulaye khuda karain
  

Jun, 02 2010     82 chars (1 sms)     2708 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Unhei to fursat nai milne ki humse-Aur humara waqt guzarta hai unki faryad kr k-

Agr aye vo mri maut pe to keh dena-''abi soya hai tume yad kr k''.
Choti Si Dosti,

Anjaani Mulakaatein;

Pal Bhar Mein Khatam Hote Din,

Khayalon Mein Doobi Lambi Raatein;

Yahin Se Shuru Hota Hai Pyaar, Hai Na..??
bechainyi hai sansoon me dard utha hai seeney me
bichar ker apne dilbar se aye maza na jeeney me
ayee.......mere dilbar agar tera saath nahi hai to
phir bhala hum kya ker rahain hain is duniya me
Dhoondte Kiya Ho In Annkhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri,
Bheer Mein Mil Jaoon Ga Asani Se Khoya Khoya Rehna Hai Nishani Meri.......
Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein
Kia Husn , Kia Shabab , Kia Rung-o-Roop Hy

Wo Bheed Mein Bh Jayen Tou Tanha Dikahi Dain
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
Aae umer-e-rawan!
Ahista chal
Abhi khasa karz chukana hai.
Itna Tanha hoon K Rooh Tak Mere Pass Nahi
Uske Bina Ab Mujhe Jeene ki koi Aas Nahi
Log Mohabbat Mein hee Sab umer Ganwa dete hain
Ek mein hoon k Nafrat Bhi mujhe raas nahi
Aj Darechay main woh Aana Bhool Gya
Main bhi apna Diya Jalana Bhool gya
Aj muhe bhi Uski Yad nahi ai
Woh Bhi mere Khowab main aana bhool gya
Khat Likha hai lekin...
Khat k Konay per
Woh apni Aankh k Ansu Mitana Bhool gya
Rooth ke ek Jaga per Dono Bethe Rahe
Main usk0 woh Mujh manana Bhool Gya
Chalte chalte main usko ghar le aya
Woh Bhi apna haath Churana Bhool gya
Na Adhi hoon na puri hoon.

meray hamdam


HaQeeQat hAy mAin tere bin adhuri hoon
Apna gum leke kahi aur na jaya jaye,

Ghar me bikhri chizo ko ghar me he sajaya jaye.

Jin chirago ko hawao ka khauf nhi,

Uun chirago ko hawao se bachaya jaye
merey baghair kabhi guzar auqat na karna,
jiss baat pe dil tootey wo baat na karna,
rakhna tamam umer mujhey dil mein basa kar,
chahey apnoon mein shamil meri zaat na karna