milain hm bhi kabhi tu k hijab bhool jay
me swal bhool jaon wo jwab bhool jay
wo kisi kheal mn ho aur isi kheal mn hi
kabhi mery rasty mn wo gulab bhool jay
jo kabhi tu parhny bethy mujy harf harf dekhy
teri ankhin bheeg jain tu kitab bhool jay
teri sooch pr hawi ho meri yad iss tarh say
k tu apni zindgi ka ya nisab bhool jaay
wo jo dekhy meri janib tu bachon mn aik gunah sy
usy dekh lon man itna k sharab bhool jay
mujhy gham wo dey rha ha magar iss py chahta ha
me hissab rakh na paon wo hissab bhool jay
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
hum ne kab mani thi baat zamanay ki
aaj humare baat manayzamana kyon
wo jungl kay phoolon per kyon marta hai
ussko achay lagtay hein veranay kyon
mohsin jab b chot nae kha leta hoon
dil ko yaad aatey hein dost poranay kyon,,
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka
Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,
doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,
khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,
darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,
dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,
dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,
do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.